
Mujh Ko Maloom Tha Main Aur Sanwar Jaaoon Ga
Poet: Pritpal Singh Betab
مجھ کو معلوم تھا میں اور سنور جاؤں گا
گھر سے نکلوں گا تو ہر سمت بکھر جاؤں گا
راز موجوں کے سمندر نے بتائے ہیں مجھے
یہاں ڈوبوں گا کہیں اور ابھر جاؤں گا
ابھی سستاؤں گا کچھ دیر اسی دوراہے پر
بعد میں سوچوں گا دیکھوں گا کدھر جاؤں گا
میں تو برزخ کے اندھیروں میں جلاؤں گا چراغ
میں نہیں وہ کہ جو موت آئی تو مر جاؤں گا
زندگی یوں تجھے رہنے نہیں دوں گا بے رنگ
تیری تصویر میں کچھ رنگ تو بھر جاؤں گا
میں ہوں دریا ہے روانی مری دائم بیتابؔ
کوئی سیلاب نہیں ہوں کہ اتر جاؤں گا
Mujh Ko Maloom Tha Main Aur Sanwar Jaaoon Ga
Ghar Se Nikloon Ga To Har Simt Bikhar Jaaoon Ga
Raaz Moujon Ke Samandar Ne Bataye Hain Mujhe
Yahan Dooboon Ga Kahin Aur Ubhar Jaaoon Ga
Abhi Sastaaoon Ga Kuch Der Isi Douraahay Par
Baad Mein Sochoon Ga Dekhoon Ga Kidhar Jaaoon Ga
Main To Barzakh Ke Andheron Mein Jalaaoon Ga Chiraagh
Main Nahi Woh Ke Jo Maut Aayi To Mar Jaaoon Ga
Zindagi Yun Tujhe Rehne Nahi Doon Ga Be-Rang
Teri Tasveer Mein Kuch Rang To Bhar Jaaoon Ga
Main Hoon Darya Hai Rawaanee Meri Daim
Betaab, Koi Sailaab Nahi Hoon Ke Utar Jaaoon Ga
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono
Kya Batayen, Ishq Zalim Kya Qayamat Dhaye Hai – Jigar




