Urdu Poetry

Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ke Jo Hijr Tha Na Visaal Tha

مجھے ایسا لطف عطا کیا کہ جو ہجر تھا نہ وصال تھا - اعتبار ساجد

Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ke Jo Hijr Tha Na Visaal Tha
Aitebar Sajid

Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ke Jo Hijr Tha Na Visaal Tha
Mere Mausamon Ke Mizaaj Daan Tujhe Mera Kitna Khayal Tha

Kisi Aur Chehre Ko Dekh Kar Teri Shakal Zehan Mein Aa Gayi
Tera Naam Le Ke Mila Use Mere Hafize Ka Yeh Haal Tha

Kabhi Mausamon Ke Saraab Mein Kabhi Baam-o-Dar Ke Azaab Mein
Wahan Umar Hum Ne Guzar Di Jahan Saans Lena Mahal Tha

Kabhi Tu Ne Ghour Nahin Kiya Ke Yeh Log Kaise Ujar Gaye
Koi Mir Jaisa Girifta Dil Tere Samne Ki Misaal Tha

Tere Baad Koi Nahin Mila Jo Yeh Haal Dekh Ke Poochhta
Mujhe Kis Ki Aag Jala Gayi Mere Dil Ko Kis Ka Malaal Tha

Kahin Khoon-e-Dil Se Likha To Tha Tere Saal-e-Hijr Ka Sanha
Woh Adhoori Diary Kho Gayi Woh Na Jaane Kaun Sa Saal Tha

مجھے ایسا لطف عطا کیا کہ جو ہجر تھا نہ وصال تھا
مرے موسموں کے مزاج داں تجھے میرا کتنا خیال تھا

کسی اور چہرے کو دیکھ کر تری شکل ذہن میں آ گئی
ترا نام لے کے ملا اسے میرے حافظے کا یہ حال تھا

کبھی موسموں کے سراب میں کبھی بام و در کے عذاب میں
وہاں عمر ہم نے گزار دی جہاں سانس لینا محال تھا

کبھی تو نے غور نہیں کیا کہ یہ لوگ کیسے اجڑ گئے
کوئی میرؔ جیسا گرفتہ دل تیرے سامنے کی مثال تھا

ترے بعد کوئی نہیں ملا جو یہ حال دیکھ کے پوچھتا
مجھے کس کی آگ جلا گئی مرے دل کو کس کا ملال تھا

کہیں خون دل سے لکھا تو تھا ترے سال ہجر کا سانحہ
وہ ادھوری ڈائری کھو گئی وہ نہ جانے کون سا سال تھا

 

Yeh Jo Ab Morr Aaya Hai – Amjad Islam Amjad
Aakhri Chand Din December Ke – December Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *