Jan Nisar Akhtar

Mujhe Maloom Hai Main Saari Duniya Ki Amanat Hoon

مجھے معلوم ہے میں ساری دنیا کی امانت ہوں - غزل

Mujhe Maloom Hai Main Saari Duniya Ki Amanat Hoon
Poet: Jaan Nisar Akhtar

مجھے معلوم ہے میں ساری دنیا کی امانت ہوں
مگر وہ لمحہ جب میں صرف اپنا ہو سا جاتا ہوں

میں تم سے دور رہتا ہوں تو میرے ساتھ رہتی ہو
تمہارے پاس آتا ہوں تو تنہا ہو سا جاتا ہوں

میں چاہے سچ ہی بولوں ہر طرح سے اپنے بارے میں
مگر تم مسکراتی ہو تو جھوٹا ہو سا جاتا ہوں

ترے گل رنگ ہونٹوں سے دہکتی زندگی پی کر
میں پیاسا اور پیاسا اور پیاسا ہو سا جاتا ہوں

تجھے بانہوں میں بھر لینے کی خواہش یوں ابھرتی ہے
کہ میں اپنی نظر میں آپ رسوا ہو سا جاتا ہوں

 

Mujhe Maloom Hai Main Saari Duniya Ki Amanat Hoon – Roman Urdu 

Mujhe Maloom Hai Main Saari Duniya Ki Amanat Hoon
Magar Woh Lamha Jab Main Sirf Apna Ho Sa Jaata Hoon

Main Tum Se Door Rehta Hoon To Mere Saath Rehti Ho
Tumhare Paas Aata Hoon To Tanha Ho Sa Jaata Hoon

Main Chahe Sach Hi Boloon Har Tarah Se Apne Baare Mein
Magar Tum Muskuraati Ho To Jhoota Ho Sa Jaata Hoon

Tere Gul Rang Honton Se Dahakti Zindagi Pee Kar
Main Pyasa Aur Pyasa Aur Pyasa Ho Sa Jaata Hoon

Tujhe Baahon Mein Bhar Lene Ki Khwahish Yun Ubharti Hai
Ke Main Apni Nazar Mein Aap Ruswa Ho Sa Jaata Hoon

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *