
Na Hum Safar Na Kisi Hum Nasheen Se Nikle Ga
Rahat Indori Shayari
Na Hum Safar Na Kisi Hum Nasheen Se Nikle Ga
Hamaare Paon Ka Kaanta Humein Se Nikle Ga
Main Jaanta Tha Ke Zehreela Saanp Ban Ban Kar
Tera Khuloos Meri Aasteen Se Nikle Ga
Ussi Gali Mein Woh Bhooka Faqeer Rehta Tha
Talaash Keeje Khazana Yahin Se Nikle Ga
Buzurg Kehte Thay Ek Waqt Aayega Jis Din
Jahan Pe Doobay Ga Sooraj Wahin Se Nikle Ga
Guzishta Saal Ke Zakhm Hara Bharay Rehna
Juloos Ab Ke Baras Bhi Yahin Se Nikle Ga
نہ ہم سفر نہ کسی ہم نشیں سے نکلے گا
ہمارے پاؤں کا کانٹا ہمیں سے نکلے گا
میں جانتا تھا کہ زہریلا سانپ بن بن کر
ترا خلوص مری آستیں سے نکلے گا
اسی گلی میں وہ بھوکا فقیر رہتا تھا
تلاش کیجے خزانہ یہیں سے نکلے گا
بزرگ کہتے تھے اک وقت آئے گا جس دن
جہاں پہ ڈوبے گا سورج وہیں سے نکلے گا
گزشتہ سال کے زخمو ہرے بھرے رہنا
جلوس اب کے برس بھی یہیں سے نکلے گا
Dilon Mein Aag, Labon Par Gulab Rakhte Hain – Rahat Indori
Rafaqaton Mein Peshimaniyan To Hoti Hain – Ahmad Faraz
Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain
Wo Ek Ek Baat Pe Rone Laga Tha – Rahat Indori