
Ghazal: Na Intezaar Ki Lazat, Na Aarzu Ki Thakan
Poet: Ahmad Faraz
Na Intezaar Ki Lazat, Na Aarzu Ki Thakan
Bujhi Hain Dard Ki Sham’ain, Ke So Gaya Hai Badan
Sulag Rahi Hain Na Jaane Kis Aanch Se Aankhein
Na Aansuon Ki Talab Hai, Na Ratjagon Ki Jalan
Dil-e-Fareb Zada, Dawat-e-Nazar Pe Na Ja
Ye Aaj Ke Qadd-o-Gesu Hain, Kal Ke Daar-o-Rasan
Bahaar-e-Qurb Se Pehle Ujaad Deti Hain
Judaiyon Ki Hawaayein, Mohabbatoun Ke Chaman
Woh Ek Raat Guzar Bhi Gayi Magar Ab Tak
Wisaal-e-Yaar Ki Lazat Se Toot’ta Hai Badan
Phir Aaj Shab Tere Qadmon Ki Chaap Ke Humraah
Sunai Di Hai Dil-e-Namuraad Ki Dhadkan
Ye Zulm Dekh Ke Tu Jaan-e-Shaayari Hai Magar
Meri Ghazal Mein Tera Naam Bhi Hai Jurm-e-Sukhan
Ameer-e-Shehr Ghareebon Ko Loot Leta Hai
Kabhi Ba-Heela-e-Mazhab, Kabhi Banaam-e-Watan
Hawa-e-Dehr Se Dil Ka Charaagh Kya Bujhta
Magar Firaaz Salamat Hai Yaar Ka Daaman
نہ انتظار کی لذت نہ آرزو کی تھکن
بجھی ہیں درد کی شمعیں کہ سو گیا ہے بدن
سُلگ رہی ہیں نہ جانے کس آنچ سے آنکھیں
نہ آنسوؤں کی طلب ہے نہ رتجگوں کی جلن
دلِ فریب زدہ دعوتِ نظر پہ نہ جا
یہ آج کے قد و گیسو ہیں کل کہ دار و رسن
بہارِ قرب سے پہلے اُجاڑ دیتی ہیں
جدائیوں کی ہوائیں محبتوں کے چمن
وہ ایک رات گزر بھی گئی مگر اب تک
وصالِ یار کی لذت سے ٹوٹتا ہے بدن
پھر آج شب ترے قدموں کی چاپ کے ہمراہ
سنائی دی ہے دلِ نامراد کی دھڑکن
یہ ظلم دیکھ کہ تُو جانِ شاعری ہے مگر
مری غزل میں ترا نام بھی ہے جُرمِ سخن
امیرِ شہر غریبوں کو لُوٹ لیتا ہے
کبھی بہ حیلئہ مذہب کبھی بنامِ وطن
ہوائے دہر سے دل کا چراغ کیا بجھتا
مگر فراز سلامت ہے یار کا دامن




