
Na Kahin Se Door Hain Manzilen
Naat Lyrics in Urdu
Poet: منور بدایونی
Na Kahin Se Door Hain Manzilen Na Koi Qareeb Ki Baat Hai
Jise Chahein Usko Nawaz Dein Ye Dar-e-Habib Ki Baat Hai
نہ کہیں سے دور ہیں منزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
جسے چاہیں اس کو نواز دیں یہ در حبیب کی بات ہے
Jise Chaaha Dar Pe Bula Liya Jise Chaaha Apna Bana Liya
Ye Bade Karam Ke Hain Faisle Ye Bade Naseeb Ki Baat Hai
جسے چاہا در پہ بلا لیا جسے چاہا اپنا بنا لیا
یہ بڑے کرم کے ہیں فیصلے یہ بڑے نصیب کی بات ہے
Woh Khuda Nahin Bakhuda Nahin Woh Magar Khuda Se Juda Nahin
Woh Hain Kya Magar Woh Hain Kya Nahin Ye Muhib-e-Habib Ki Baat Hai
وہ خدا نہیں بخدا نہیں وہ مگر خدا سے جدا نہیں
وہ ہیں کیا مگر وہ ہیں کیا نہیں یہ محب حبیب کی بات ہے
Woh Machal Ke Raah Mein Reh Gayi Ye Tarap Ke Dar Se Lipt Gayi
Woh Kisi Ameer Ki Aah Thi Ye Kisi Ghareeb Ki Baat Hai
وہ مچل کے راہ میں رہ گئی یہ تڑپ کے در سے لپٹ گئی
وہ کسی امیر کی آہ تھی یہ کسی غریب کی بات ہے
Tujhe Ae Munawwar Be-Nawa Dar-e-Sheh Se Chahiye Aur Kya
Jo Naseeb Ho Kabhi Saamna To Bade Naseeb Ki Baat Hai
تجھے اے منورؔ بے نوا در شہہ سے چاہئے اور کیا
جو نصیب ہو کبھی سامنا تو بڑے نصیب کی بات ہے