
Na Qareeb Aa Na To Door Ja – Ghazal
نہ قریب آ نہ تو دور جا یہ جو فاصلہ ہے یہ ٹھیک ہے
نہ گزر حدوں سے نہ حد بتا یہی دائرہ ہے یہ ٹھیک ہے
نہ تو آشنا نہ ہی اجنبی نہ کوئی بدن ہے نہ روح ہی
یہی زندگی کا ہے فلسفہ یہ جو فلسفہ ہے یہ ٹھیک ہے
یہ ضرورتوں کا ہی رشتہ ہے یہ ضروری رشتہ تو ہے نہیں
یہ ضرورتیں ہی ضروری ہیں یہ جو واسطہ ہے یہ ٹھیک ہے
میری مشکلوں سے تجھے ہے کیا تیری الجھنوں سے مجھے ہے کیا
یہ تکلفات سے ملنے کا جو بھی سلسلہ ہے یہ ٹھیک ہے
ہم الگ الگ ہوئے ہیں مگر ابھی کنپکنپاتی ہے یہ نظر
ابھی اپنے بیچ ہے کافی کچھ جو بھی رہ گیا ہے یہ ٹھیک ہے
مری فطرتوں میں ہی کفر ہے مری عادتوں میں ہی عذر ہے
بنا سوچے میں کہوں کس طرح جو لکھا ہوا ہے یہ ٹھیک ہے
Na Qareeb Aa Na To Door Ja Yeh Jo Fasla Hai Yeh Theek Hai
Na Guzar Hudon Se Na Hud Bata Yahi Daira Hai Yeh Theek Hai
Na To Aashna Na Hi Ajnabi Na Koi Badan Hai Na Rooh Hi
Yahi Zindagi Ka Hai Falsafa Yeh Jo Falsafa Hai Yeh Theek Hai
Yeh Zarooraton Ka Hi Rishta Hai Yeh Zaroori Rishta To Hai Nahi
Yeh Zarooratein Hi Zaroori Hain Yeh Jo Wasta Hai Yeh Theek Hai
Meri Mushkilon Se Tujhe Hai Kya Teri Uljhanon Se Mujhe Hai Kya
Yeh Takallufat Se Milne Ka Jo Bhi Silsila Hai Yeh Theek Hai
Hum Alag Alag Hue Hain Magar Abhi Kanpkanpati Hai Yeh Nazar
Abhi Apne Beech Hai Kafi Kuch Jo Bhi Reh Gaya Hai Yeh Theek Hai
Meri Fitraton Mein Hi Kufr Hai Meri Aadaton Mein Hi Uzr Hai
Bina Sochay Main Kahoon Kis Tarah Jo Likha Hua Hai Yeh Theek Hai
Hijr Ke Haath Se Ab Khaak Pare Jeene Mein
Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-E-Zindagi Se Ham




