
Nigaahon Mein Chamak Dil Mein Khushi Mehsoos Karta Hoon
Nigaahon Mein Chamak Dil Mein Khushi Mehsoos Karta Hoon
Ke Tere Bas Mein Apni Zindagi Mehsoos Karta Hoon
Thaka Deti Hain Jab Konain Ki Pehnaiyaan Mujhko
Tere Dar Par Pahunch Kar Taazgi Mehsoos Karta Hoon
Be Majboori Muqaddar Ke Ufaq Se Jhaankne Waale
Teri Aankhon Mein Ek Sharmindagi Mehsoos Karta Hoon
Jawani Ko Sazaaye Lazzat-e-Ehsas De Dena
Main Is Had Par Khuda Ko Aadmi Mehsoos Karta Hoon
Shab-e-Aakhir Falak Par Timtima Kar Doobte Taare
Main Apne Saath Tera Dard Bhi Mehsoos Karta Hoon
نِگاہوں میں چمک دل میں خوشی محسوس کرتا ہوں
کہ! تیرے بس میں اپنی زندگی محسوس کرتا ہوں
تھکا دیتی ہیں جب کونین کی پہنائیاں مُجھ کو
ترے در پر پہنچ کر تازگی محسوس کرتا ہوں
بہ مجبوری مُقدر کے اُفق سے جھانکنے والے
تری آنکھوں میں اِک شرمندگی محسوس کرتا ہوں
جوانی کو سزائے لذتِ احساس دے دینا
میں اس حد پر خدا کو آدمی محسوس کرتا ہوں
شبِ آخِر فلک پر ٹمٹما کر ڈوبتے تارے
میں اپنے ساتھ تیرا درد بھی محسوس کرتا ہوں
قتیلؔ شِفائی