
Pehla Sa Haal Pehli Si Wehshat Nahi Rahi – Naseer Turabi
Pehla Sa Haal Pehli Si Wehshat Nahi Rahi
Shayad Ke Tere Hijr Ki Aadat Nahi Rahi
Shehron Mein Ek Shehar Mere Ratjagon Ka Shehar
Kooche To Kya Dilon Hi Mein Wusat Nahi Rahi
Logon Mein Mere Log Woh Dildariyon Ke Log
Bichhre To Door Door Tak Raqabat Nahi Rahi
Shaamon Mein Ek Shaam Woh Aawargi Ki Shaam
Ab Neem-Wa Dareechon Ki Hasrat Nahi Rahi
Raaton Mein Ek Raat Mere Ghar Ki Chaand Raat
Aangan Ko Chaandni Ki Zaroorat Nahi Rahi
Raahon Mein Ek Raah Ghar Lautne Ki Raah
Thehre Kisi Jagah Woh Tabiyat Nahi Rahi
Yaadon Mein Ek Yaad Koi Dil-Shikan Si Yaad
Woh Yaad Kahan Hai Ke Fursat Nahi Rahi
Naamon Mein Ek Naam Sawaal-Aashna Ka Naam
Ab Dil Pe Aisi Koi Ibaarat Nahi Rahi
Khwaabon Mein Ek Khwaab Teri Hamrahi Ka Khwaab
Ab Tujh Ko Dekhne Ki Bhi Fursat Nahi Rahi
Rangon Mein Ek Rang Teri Saadgi Ka Rang
Aisi Hawa Chali Ke Woh Rangat Nahi Rahi
Baaton Mein Ek Baat Teri Chahaton Ki Baat
Aur Ab Yeh Ittefaq Ke Chahat Nahi Rahi
Faslon Mein Ek Fasal Woh Jaandadgi Ki Fasal
Baadal Ko Yaan Zameen Se Raghbat Nahi Rahi
Zakhmon Mein Ek Zakhm Mataa-E-Hunar Ka Zakhm
Ab Koi Aarzoo-E-Jaraahat Nahi Rahi
Sannata Bolta Hai Sada Mat Laga Naseer
Awaaz Reh Gayi Hai Sama’at Nahi Rahi
پہلا سا حال پہلی سی وحشت نہیں رہی
شاید کہ تیرے ہجر کی عادت نہیں رہی
شہروں میں ایک شہر میرے رتجگوں کا شہر
کوچے تو کیا دلوں ہی میں وسعت نہیں رہی
لوگوں میں میرے لوگ وہ دلداریوں کے لوگ
بچھڑے تو دور دور تک رقابت نہیں رہی
شاموں میں ایک شام وہ آوارگی کی شام
اب نیم وا دریچوں کی حسرت نہیں رہی
راتوں میں ایک رات میرے گھر کی چاند رات
آنگن کو چاندنی کی ضرورت نہیں رہی
راہوں میں ایک راہ گھر لوٹنے کی راہ
ٹھہرے کسی جگہ وہ طبیعت نہیں رہی
یادوں میں ایک یاد کوئی دل شکن سی یاد
وہ یاد کہاں ہے کہ فرصت نہیں رہی
ناموں میں ایک نام سوال آشنا کا نام
اب دل پہ ایسی کوئی عبارت نہیں رہی
خوابوں میں ایک خواب تیری ہمرہی کا خواب
اب تجھ کو دیکھنے کی بھی فرصت نہیں رہی
رنگوں میں ایک رنگ تیری سادگی کا رنگ
ایسی ہوا چلی کہ وہ رنگت نہیں رہی
باتوں میں ایک بات تیری چاہتوں کی بات
اور اب یہ اتفاق کہ چاہت نہیں رہی
فصلوں میں ایک فصل وہ جاندادگی کی فصل
بادل کو یاں زمیں سے رغبت نہیں رہی
زخموں میں ایک زخم متاع ہنر کا زخم
اب کوئی آرزوئے جراحت نہیں رہی
سناٹا بولتا ہے صدا مت لگا نصیر
آواز رہ گئی ہے سماعت نہیں رہی
(نصیر ترابی)
Shaam-E-Gham Jab Bikhar Gayi Ho Gi – Urdu Poetry
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushboo Aaye – Qateel Shifai
Duniya Jise Kehte Hain Jadoo Ka Khilona Hai – Nida Fazli




