
Phir Gayi Aap Ki Do Din Mein Tabiyat Kaisi
Akbar Allahabdi Poetry
Phir Gayi Aap Ki Do Din Mein Tabiyat Kaisi
Yeh Wafa Kaisi Thi Sahab Yeh Maraww’at Kaisi
Dost Ahbaab Se Hans Bol Ke Kat Jaayegi Raat
Rind Aazaad Hain Hum Ko Shab-E-Furqat Kaisi
Jis Haseen Se Hui Ulfat Wohi Mashooq Apna
Ishq Kis Cheez Ko Kehte Hain Tabiyat Kaisi
Hai Jo Qismat Mein Wohi Hoga Na Kuchh Kam Na Sawa
Arzoo Kehte Hain Kis Cheez Ko Hasrat Kaisi
Haal Khulta Nahi Kuch Dil Ke Dharkanay Ka Mujhe
Aaj Reh Reh Ke Bhar Aati Hai Tabiyat Kaisi
Koocha-E-Yaar Mein Jaata To Nazaara Karta
Qais Aawara Hai Jungle Mein Yeh Wahshat Kaisi
پھر گئی آپ کی دو دن میں طبیعت کیسی
یہ وفا کیسی تھی صاحب یہ مروت کیسی
دوست احباب سے ہنس بول کے کٹ جائے گی رات
رند آزاد ہیں ہم کو شب فرقت کیسی
جس حسیں سے ہوئی الفت وہی معشوق اپنا
عشق کس چیز کو کہتے ہیں طبیعت کیسی
ہے جو قسمت میں وہی ہوگا نہ کچھ کم نہ سوا
آرزو کہتے ہیں کس چیز کو حسرت کیسی
حال کھلتا نہیں کچھ دل کے دھڑکنے کا مجھے
آج رہ رہ کے بھر آتی ہے طبیعت کیسی
کوچۂ یار میں جاتا تو نظارہ کرتا
قیس آوارہ ہے جنگل میں یہ وحشت کیسی
Ye Jugnuon Ki Qiyadat Mein Chalne Wale Log – Urdu Shayari
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye – Akhtar Shirani
Tamaam Umar Tera Intezar Hum Ne Kiya – Lyrics – Ghulam Ali

![Jaane Wo Kaise Log The Jin Ko [Lyrics in Urdu / Hindi]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2024/12/pexels-danika-adderley-711733-16272446-390x220.jpg)
