Parveen Shakir

Qariya-e-Jaan Mein Koi Phool Khilane Aaye – Parveen Shakir

Qariya-e-Jaan Mein Koi Phool Khilane Aaye

Parveen Shakir Poetry

 

Qariya-e-Jaan Mein Koi Phool Khilane Aaye
Woh Mere Dil Pe Naya Zakhm Lagane Aaye

Mere Veeraan Dareechon Mein Bhi Khushboo Jaage
Woh Mere Ghar Ke Dar-o-Baam Sajane Aaye

Us Se Ek Baar To Roothun Main Usi Ki Maanind
Aur Meri Tarah Se Woh Mujh Ko Manane Aaye

Usi Kooche Mein Kai Us Ke Shanasa Bhi To Hain
Woh Kisi Aur Se Milne Ke Bahaane Aaye

Ab Na Poochhun Gi Main Khoye Hue Khwabon Ka Pata
Woh Agar Aaye To Kuch Bhi Na Batane Aaye

Zabt Ki Shehr Panahon Ki Mere Maalik Khair
Gham Ka Sailaab Agar Mujh Ko Bahane Aaye

قریۂ جاں میں کوئی پھول کھلانے آئے
وہ مرے دل پہ نیا زخم لگانے آئے

میرے ویران دریچوں میں بھی خوشبو جاگے
وہ مرے گھر کے در و بام سجانے آئے

اس سے اک بار تو روٹھوں میں اسی کی مانند
اور مری طرح سے وہ مجھ کو منانے آئے

اسی کوچے میں کئی اس کے شناسا بھی تو ہیں
وہ کسی اور سے ملنے کے بہانے آئے

اب نہ پوچھوں گی میں کھوئے ہوئے خوابوں کا پتہ
وہ اگر آئے تو کچھ بھی نہ بتانے آئے

ضبط کی شہر پناہوں کی مرے مالک خیر
غم کا سیلاب اگر مجھ کو بہانے آئے

 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *