
Qurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nahi Jaata
Ahmed Faraz
Qurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nahi Jaata
Woh Shakhs Koi Faisla Kar Bhi Nahi Jaata
Aankhein Hain Ke Khaali Nahi Rehti Hain Lahoo Se
Aur Zakhm Judaai Hai Ke Bhar Bhi Nahi Jaata
Woh Raaḥat E Jaan Hai Magar Is Dar Badari Mein
Aisa Hai Ke Ab Dhyaan Idhar Bhi Nahi Jaata
Hum Dohri Azeeat Ke Giriftar Musafir
Paaon Bhi Hain Shal Shauq E Safar Bhi Nahi Jaata
Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bohat Hai
Aur Tujh Se Bichhar Jaane Ka Dar Bhi Nahi Jaata
Paagal Huye Jaate Ho Faraz Us Se Mile Kya
Itni Si Khushi Se Koi Mar Bhi Nahi Jaata
— Ahmed Faraz
قربت بھی نہیں دل سے اتر بھی نہیں جاتا
وہ شخص کوئی فیصلہ کر بھی نہیں جاتا
آنکھیں ہیں کہ خالی نہیں رہتی ہیں لہو سے
اور زخم جدائی ہے کہ بھر بھی نہیں جاتا
وہ راحت جاں ہے مگر اس در بدری میں
ایسا ہے کہ اب دھیان ادھر بھی نہیں جاتا
ہم دوہری اذیت کے گرفتار مسافر
پاؤں بھی ہیں شل شوق سفر بھی نہیں جاتا
دل کو تری چاہت پہ بھروسہ بھی بہت ہے
اور تجھ سے بچھڑ جانے کا ڈر بھی نہیں جاتا
پاگل ہوئے جاتے ہو فرازؔ اس سے ملے کیا
اتنی سی خوشی سے کوئی مر بھی نہیں جاتا
Gulon Si Guftagu Karein Qayamaton Ke Darmiyan – Ada Jafarey
Ghazal – Baatein To Kuch Aisi Hain Ke Khud Se Bhi Na Ki Jaayein
Mehfil Aara The Magar Phir Kam Numa Hotay Gaye – Munir Niazi




