
Qurbat Se Naashinaas Rahe, Kuch Nahi Bana
Komal Joya Poetry in Urdu
Qurbat Se Naashinaas Rahe, Kuch Nahi Bana
Khush Rang, Khush Libaas Rahe, Kuch Nahi Bana
Honton Ne Khud Pe Pyaas Ke Pehre Bitha Liye
Darya Ke Aas Paas Rahe, Kuch Nahi Bana
Ab Qahqahon Ke Saath Karenge Ilaaj-E-Ishq
Hum Muddaton Udaas Rahe, Kuch Nahi Bana
Jis Roz Be-Adab Huye, Mashhoor Ho Gaye
Jab Tak Sukhan-Shinaas Rahe, Kuch Nahi Bana
Us Shakhs Ke Mizaaj Ki Talkhi Nahi Gayi
Hum Mahw-E-Iltimaas Rahe, Kuch Nahi Bana
Phir Ek Roz Tark-E-Mohabbat Pe Khush Huye
Kuch Din To Badhawaas Rahe, Kuch Nahi Bana
قربت سےناشناس رہے ،کچھ نہیں بنا – کومل جوئیہ
قربت سے ناشناس رہے ، کچھ نہیں بنا
خوش رنگ ، خوش لباس رہے ، کچھ نہیں بنا
ہونٹوں نے خود پہ پیاس کے پہرے بٹھا لئے
دریا کے آس پاس رہے ، کچھ نہیں بنا
اب قہقہوں کے ساتھ کریں گے علاجِ عشق
ہم مدتوں اداس رہے ، کچھ نہیں بنا
جس روز بے ادب ہوئے ، مشہور ہو گئے
جب تک سخن شناس رہے ، کچھ نہیں بنا
اس شخص کے مزاج کی تلخی نہیں گئی
ہم محوِ التماس رہے ، کچھ نہیں بنا
پھر ایک روز ترکِ محبت پہ خوش ہوئے
کچھ دن تو بدحواس رہے ، کچھ نہیں بنا
Koi To Phool Khilaye Dua Ke Lehje Mein – Iftikhar Arif
Ae Dil Woh Aashiqi Ke Fasane Kidhar Gaye – Akhtar Shirani
Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz



