Saleem Kausar

Qurbatein Hotay Huay Bhi Faslon Mein Qaid Hain – Saleem Kausar

Qurbatein Hotay Huay Bhi Faslon Mein Qaid Hain

Saleem Kausar Ghazal

 

Qurbatein Hotay Huay Bhi Faslon Mein Qaid Hain
Kitni Aazaadi Se Hum Apni Hudon Mein Qaid Hain

Kaun Si Aankhon Mein Mere Khwab Roshan Hain Abhi
Kis Ki Neendain Hain Jo Mere Rutjugon Mein Qaid Hain

Sheher Abaadi Se Khaali Ho Gaye, Khushboo Se Phool
Aur Kitni Khwahishain Hain Jo Dilon Mein Qaid Hain

Paon Mein Rishton Ki Zanjeerein Hain, Dil Mein Khauf Ki
Aisa Lagta Hai Ke Hum Apne Gharon Mein Qaid Hain

Yeh Zameen Yun Hi Sikarti Jaayegi Aur Ek Din
Phail Jaayenge Jo Toofan Sahilon Mein Qaid Hain

Is Jazeere Par Azal Se Khaak Udti Hai Hawa
Manzilon Ke Bheed Phir Bhi Raaston Mein Qaid Hain

Kaun Yeh Paataal Se Ubhra Kinaare Par Saleem
Sar Phiri Maujein Abhi Tak Dairon Mein Qaid Hain

 

قربتیں ہوتے ہوئے بھی فاصلوں میں قید ہیں
کتنی آزادی سے ہم اپنی حدوں میں قید ہیں

کون سی آنکھوں میں میرے خواب روشن ہیں ابھی
کس کی نیندیں ہیں جو میرے رتجگوں میں قید ہیں

شہر آبادی سے خالی ہو گئے خوشبو سے پھول
اور کتنی خواہشیں ہیں جو دلوں میں قید ہیں

پاؤں میں رشتوں کی زنجیریں ہیں دل میں خوف کی
ایسا لگتا ہے کہ ہم اپنے گھروں میں قید ہیں

یہ زمیں یوں ہی سکڑتی جائے گی اور ایک دن
پھیل جائیں گے جو طوفاں ساحلوں میں قید ہیں

اس جزیرے پر ازل سے خاک اڑتی ہے ہوا
منزلوں کے بھید پھر بھی راستوں میں قید ہیں

کون یہ پاتال سے ابھرا کنارے پر سلیمؔ
سر پھری موجیں ابھی تک دائروں میں قید ہیں

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *