
Roz Taron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai
Rahat Indori Poetry
Roz Taron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai
Chaand Paagal Hai Andhere Mein Nikal Parta Hai
Ek Deewana Musafir Hai Meri Aankhon Mein
Waqt Be-Waqt Thahar Jata Hai Chal Parta Hai
Apni Tabeer Ke Chakkar Mein Mera Jagta Khawab
Roz Sooraj Ki Tarah Ghar Se Nikal Parta Hai
Roz Pathar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain
Roz Sheeshon Se Koi Kaam Nikal Parta Hai
Us Ki Yaad Aayi Hai Saanson Zara Aahista Chalo
Dhadkano Se Bhi Ibadat Mein Khalal Parta Hai
Rahat Indori Poetry in Urdu
روز تاروں کو نمائش میں خلل پڑتا ہے
چاند پاگل ہے اندھیرے میں نکل پڑتا ہے
ایک دیوانہ مسافر ہے مری آنکھوں میں
وقت بے وقت ٹھہر جاتا ہے چل پڑتا ہے
اپنی تعبیر کے چکر میں مرا جاگتا خواب
روز سورج کی طرح گھر سے نکل پڑتا ہے
روز پتھر کی حمایت میں غزل لکھتے ہیں
روز شیشوں سے کوئی کام نکل پڑتا ہے
اس کی یاد آئی ہے سانسو ذرا آہستہ چلو
دھڑکنوں سے بھی عبادت میں خلل پڑتا ہے