Saghar Siddiqui

Rudad-E-Mohabbat Kya Kehiye – Saghar Siqqiqi Ghazal

Rudad-E-Mohabbat Kya Kehiye

Saghar Siqqiqi Ghazal

 

Rudad-E-Mohabbat Kya Kehiye Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye
Do Din Ki Musarrat Kya Kehiye Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

Jab Jaan Diya Tha Saqi Ne Jab Door Chala Tha Mehfil Mein
Ek Hosh Ki Saat Kya Kehyie Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

Ab Waqt Ke Nazuk Honton Par Majrooh Tarannum Raqsaan Hai
Bidad Misheti Kya Kehyie Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

Ehsaas Ke Mey Khana Mein Kahan Ab Fikr-O-Nazar Ki Qandeelain
Aalam Ki Shiddat Kya Kehyie Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

Kuch Haal Ke Andhe Saathi The Kuch Mazi Ke Ayyar Sajan
Ahbaab Ki Chaahat Kya Kehyie Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

Kanton Se Bhara Hai Daman Dil Shabnam Se Sulgti Hain Palkein
Phoolon Ki Sakhawat Kya Kehyie Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

Ab Apni Haqeeqat Bhi Sagar Be-Rabt Kahani Lagti Hai
Duniya Ki Haqeeqat Kya Kehyie Kuch Yaad Rahi Kuch Bhool Gaye

روداد محبت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے
دو دن کی مسرت کیا کہئے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

جب جام دیا تھا ساقی نے جب دور چلا تھا محفل میں
اک ہوش کی ساعت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

اب وقت کے نازک ہونٹوں پر مجروح ترنم رقصاں ہے
بیداد مشیت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

احساس کے مے خانے میں کہاں اب فکر و نظر کی قندیلیں
آلام کی شدت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

کچھ حال کے اندھے ساتھی تھے کچھ ماضی کے عیار سجن
احباب کی چاہت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

کانٹوں سے بھرا ہے دامن دل شبنم سے سلگتی ہیں پلکیں
پھولوں کی سخاوت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

اب اپنی حقیقت بھی ساغرؔ بے ربط کہانی لگتی ہے
دنیا کی حقیقت کیا کہیے کچھ یاد رہی کچھ بھول گئے

 

Ab To Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Ke Mar Jayenge – Urdu Poetry
Dard Ke Phool Bhi Khilte Hain Bikhar Jaate Hain – Javed Akhtar

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *