
Rukhsat Hua To Baat Meri Maan Kar Gaya
Poet: Khalid Sharif
Rukhsat Hua To Baat Meri Maan Kar Gaya
Jo Uske Paas Tha Woh Mujhe Daan Kar Gaya
Bichhra Kuch Us Ada Se Ke Rut Hi Badal Gayi
Ek Shakhs Saare Shehr Ko Veeran Kar Gaya
Dilchasap Waqia Hai Ke Kal Ek Aziz Dost
Apne Mafaad Par Mujhe Qurbaan Kar Gaya
Kitni Sudhar Gayi Hai Judaai Mein Zindagi
Haan Woh Jafa Se Mujh Pe To Ehsaan Kar Gaya
Khalid Main Baat Baat Pe Kehta Tha Jisko Jaan
Woh Shakhs Aakhirish Mujhe Bejaan Kar Gaya
رخصت ہوا تو بات مری مان کر گیا
جو اس کے پاس تھا وہ مجھے دان کر گیا
بچھڑا کچھ اس ادا سے کہ رت ہی بدل گئی
اک شخص سارے شہر کو ویران کر گیا
دلچسپ واقعہ ہے کہ کل اک عزیز دوست
اپنے مفاد پر مجھے قربان کر گیا
کتنی سدھر گئی ہے جدائی میں زندگی
ہاں وہ جفا سے مجھ پہ تو احسان کر گیا
خالدؔ میں بات بات پہ کہتا تھا جس کو جان
وہ شخص آخرش مجھے بے جان کر گیا
Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ke Jo Hijr Tha Na Visaal Tha
Aankh Se Dil Mein Aane Wala – Arzoo Lakhnavi
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisaab Kya Detay – Munir Niazi




