
Sab Chiraghon Ki Hidayat Ka Matlab Samjhe
Komal Joya
Sab Chiraghon Ki Hidayat Ka Matlab Samjhe
Chaand Rootha To Siyah Raat Ka Matlab Samjhe
Us Pe Utare The Mohabbat Ke Sahife Lekin
Ek Kaafir Kahan Taurat Ka Matlab Samjhe
Kaun Reh Reh Ke Wafaaon Ko Nibhana Seekhe
Kaun Farsuda Riwayat Ka Matlab Samjhe
Is Se Pehle To Duaaon Pe Yaqeen Tha Kam Kam
To Ne Chhoda To Munajat Ka Matlab Samjhe
Jab Woh Bhar Bhar Ke Lata Raha Auron Pe Khuloos
Hum Tehi Dast Inayat Ka Matlab Samjhe
Ab Kisi Aur Taraf Baat Ghumane Wale
Main Samajhti Hoon Teri Baat Ka Matlab Samjhe
Tujh Ko Bhi Chhod Ke Jaye Tera Apna Koi
To Bhi Ek Roz Mukafat Ka Matlab Samjhe
سب چراغوں کی ہدایات کا مطلب سمجھے
چاند روٹھا تو سیہ رات کا مطلب سمجھے
اس پہ اترے تھے محبت کے صحیفے لیکن
ایک کافر کہاں تورات کا مطلب سمجھے
کون رہ رہ کے وفاؤں کو نبھانا سیکھے
کون فرسودہ روایات کا مطلب سمجھے
اس سے پہلے تو دعاؤں پہ یقیں تھا کم کم
تو نے چھوڑا تو مناجات کا مطلب سمجھے
جب وہ بھر بھر کے لٹاتا رہا اوروں پہ خلوص
ہم تہی دست عنایات کا مطلب سمجھے
اب کسی اور طرف بات گھمانے والے
میں سمجھتی ہوں تری بات کا مطلب سمجھے
تجھ کو بھی چھوڑ کے جائے ترا اپنا کوئی
تو بھی اک روز مکافات کا مطلب سمجھے
Woh Aks-e-Mauj-e-Gul Tha – Parveen Shakir
Dil Ke Afsane Nigahon Ki Zubaan – Noor Jahan Lyrics
Gulon Si Guftagu Karein Qayamaton Ke Darmiyan – Ada Jafarey
Udaas Shaam Ki Aik Nazm – Noshi Gilani




