Wasi Shah

Samandar Mein Utarta Hoon To Aankhein – Wasi Shah

Samandar Mein Utarta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Wasi Shah Poetry

Samandar Mein Utarta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Padhta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhnay Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushboo Khidkiyon Mein Raqs Karti Hai
Tere Gham Mein Sulagta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Na Jaane Ho Gaya Hoon Is Qadar Hassas Mein Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bohat Masroof Rehta Hoon Magar Jon Hi
Qadam Chaukhat Pe Rakhta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Har Ik Muflis Ke Maathay Par Alam Ki Dastaanen Hain
Koi Chehra Bhi Padhta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Baday Logon Ke Oonchay Badnuma Aur Sard Mahaloon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Taluq Wajibi Sa Hai
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Wasi Main Jab Bhi Hansa Hoon To Aankhein Bheeg Jaati Hain

سمندر میں اترتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں
تری آنکھوں کو پڑھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

تمہارا نام لکھنے کی اجازت چھن گئی جب سے
کوئی بھی لفظ لکھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

تری یادوں کی خوشبو کھڑکیوں میں رقص کرتی ہے
ترے غم میں سلگتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

نہ جانے ہو گیا ہوں اس قدر حساس میں کب سے
کسی سے بات کرتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

میں سارا دن بہت مصروف رہتا ہوں مگر جوں ہی
قدم چوکھٹ پہ رکھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

ہر اک مفلس کے ماتھے پر الم کی داستانیں ہیں
کوئی چہرہ بھی پڑھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

بڑے لوگوں کے اونچے بد نما اور سرد محلوں کو
غریب آنکھوں سے تکتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

ترے کوچے سے اب میرا تعلق واجبی سا ہے
مگر جب بھی گزرتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

ہزاروں موسموں کی حکمرانی ہے مرے دل پر
وصیؔ میں جب بھی ہنستا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

Hum To Gum Ho Gaye Halaat Ke Sanaate Mein – Urdu Shayari
2 Line Chand Poetry in Urdu Text – Moon Poetry in Urdu
Teri Baatein Hi Sunane Aaye – Ahmad Faraz Poetry

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *