Faiz Ahmad Faiz

Shaam-e-Firaaq Ab Na Poochh Aayi Aur Aa Ke Tal Gayi

Shaam-e-Firaaq Ab Na Poochh Aayi Aur Aa Ke Tal Gayi
Faiz Ahmad Faiz Poetry
شام فراق اب نہ پوچھ آئی اور آ کے ٹل گئی
دل تھا کہ پھر بہل گیا جاں تھی کہ پھر سنبھل گئی
بزم خیال میں ترے حسن کی شمع جل گئی
درد کا چاند بجھ گیا ہجر کی رات ڈھل گئی
جب تجھے یاد کر لیا صبح مہک مہک اٹھی
جب ترا غم جگا لیا رات مچل مچل گئی
دل سے تو ہر معاملہ کر کے چلے تھے صاف ہم
کہنے میں ان کے سامنے بات بدل بدل گئی
آخر شب کے ہم سفر فیضؔ نہ جانے کیا ہوئے
رہ گئی کس جگہ صبا صبح کدھر نکل گئی

Shaam-e-Firaaq Ab Na Poochh Aayi Aur Aa Ke Tal Gayi
Dil Tha Ke Phir Bahal Gaya, Jaan Thi Ke Phir Sambhal Gayi

Bazm-e-Khayaal Mein Tere Husn Ki Shama Jal Gayi
Dard Ka Chaand Bujh Gaya, Hijr Ki Raat Dhal Gayi

Jab Tujhe Yaad Kar Liya, Subah Mehak Mehak Uthi
Jab Tera Gham Jaga Liya, Raat Machal Machal Gayi

Dil Se To Har Muamla Kar Ke Chale Thay Saaf Hum
Kehne Mein Un Ke Samne Baat Badal Badal Gayi

Aakhir-e-Shab Ke Hum Safar Faiz Na Jaane Kya Huay
Reh Gayi Kis Jagah Saba, Subah Kidhar Nikal Gayi

Manzilen Laakh Kathin Aayeen Guzar Jaoon Ga – Urdu Ghazal
Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak Pahunchun – Urdu Shayari
Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyun Hain

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *