Shayad Yeh Waqt Hum Se Koi Chaal Chal Gaya
Jagjit Singh Ghazal Lyrics
Isi Mod Se Shuru Karein Phir Yeh Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thi, Hum Tum Thay Ajnabi
Lai Kar Chalay Thay Hum Jinhein Jannat Ke Khwab Thay
Phoolon Ke Khwab Thay, Woh Mohabbat Ke Khwab Thay
Lekin Kahan Hai In Mein Woh Pehlay Si Dilkashi
Rehtay Thay Hum Haseen Khayalon Ki Bheed Mein
Uljhay Huye Hain Aaj Sawalon Ki Bheed Mein
Aane Lagi Hai Yaad Woh Fursat Ki Har Ghadi
Shayad Yeh Waqt Hum Se Koi Chaal Chal Gaya
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
Ashkon Ki Chaandni Se Thi Behtar Woh Dhoop Hi
Isi Mod Se Shuru Karein Phir Yeh Zindagi
Shayad Yeh Waqt Hum Se Koi Chaal Chal Gaya Lyrics in Urdu
اسی موڑ سے شروع کریں پھر یہ زندگی
ھر شہ جہاں حسین تھی ھم تم تھے اجنبی
لے کر چلے تھے ھم جنھیں جنت کے خواب تھے
پھولوں کے خواب تھے وہ محبت کے خواب تھے
لیکن کہاں ھے ان میں وہ پہلے سی دلکشی
رھتے تھے ھم حسین خیالوں کی بھیڑ میں
الجھے ھوئے ھیں آج سوالوں کی بھیڑ میں
آنے لگی ھے یاد وہ فرصت کی ھر گھڑی
شاید یہ وقت ھم سے کوئی چال چل گیا
رشتہ وفا کا اور ھی رنگوں میں ڈھل گیا
اشکوں کی چاندنی سے تھی بھتر وہ دھوپ ھی
اسی موڑ سے شروع کریں پھر یہ زندگی