
Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain
Allama Iqbal Poetry
(Book: Bale-e-Jibril)
Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain
Tihi Zindagi Ke Nahin Yeh Fazaayein
Yahan Sainkadon Kaaravaan Aur Bhi Hain
Qanaa’at Nah Kar Aalam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Hain!
Agar Kho Gaya Ek Nasheman Tho Kya Gham
Muqaamaat-e-Aah-o-Fughaan Aur Bhi Hain!
Tu Shaaheen Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera
Tere Saamne Aasmaan Aur Bhi Hain
Isi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Nah Rah Jaa
Kih Tere Zamaan-o-Makaan Aur Bhi Hain
Gaye Din Ke Tanhaa Thaa Main Anjuman Mein
Yahaan Ab Mere Raaz-Daan Aur Bhi Hain
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں
قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں