
Siyahiyon Ke Bane Harf Harf Dhotay Hain
Bashir Badr Poetry in Urdu
Siyahiyon Ke Bane Harf Harf Dhotay Hain
Yeh Log Raat Mein Kaaghaz Kahaan Bhigotay Hain
Kisi Ki Raah Mein Dehleez Par Diye Na Rakho
Kawaarr Sookhi Hui Lakriyon Ke Hotay Hain
Chiraagh Paani Mein Moujon Se Poochhte Honge
Woh Kaun Log Hain Jo Kashtiyan Dubotay Hain
Unhein Mein Khelne Aati Hain Be-Riya Roohain
Woh Ghar Jo Laal Hari Daftiyon Ke Hotay Hain
Qadeem Qasbon Mein Kaisa Sukoon Hota Hai
Thakay Thakay Hamare Buzurg Sotay Hain
Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Se Zameen
Ghazal Ke She’r Kahaan Roz Roz Hotay Hain
سیاہیوں کے بنے حرف حرف دھوتے ہیں
یہ لوگ رات میں کاغذ کہاں بھگوتے ہیں
کسی کی راہ میں دہلیز پر دیے نہ رکھو
کواڑ سوکھی ہوئی لکڑیوں کے ہوتے ہیں
چراغ پانی میں موجوں سے پوچھتے ہوں گے
وہ کون لوگ ہیں جو کشتیاں ڈبوتے ہیں
انہیں میں کھیلنے آتی ہیں بے ریا روحیں
وہ گھر جو لال ہری دفتیوں کے ہوتے ہیں
قدیم قصبوں میں کیسا سکون ہوتا ہے
تھکے تھکائے ہمارے بزرگ سوتے ہیں
چمکتی ہے کہیں صدیوں میں آنسوؤں سے زمیں
غزل کے شعر کہاں روز روز ہوتے ہیں