Geet Lyrics

So Baar Chaman Mehka So Baar Bahaar Aayi [Lyrics]

So Baar Chaman Mehka So Baar Bahaar Aayi

So Baar Chaman Mehka So Baar Bahaar Aayi
Duniya Ki Wahi Rounaq, Dil Ki Wahi Tanhai

Ek Lamhha Bahe Aansoo, Ek Lamhha Hansi Aayi
Seekhe Hain Naye Dil Ne Andaaz Shakeebai

Is Mausam-e-Gul Hi Se Behke Nahin Deewane
Saath Abr-e-Baharaan Ke Woh Zulf Bhi Lehraayi

Har Dard Mohabbat Se Uljha Hai Gham-e-Hasti
Kya Kya Humein Yaad Aaya Jab Yaad Teri Aayi

Chirke Woh Diye Dil Ko Mehroomi-e-Qismat Ne
Ab Hijr Bhi Tanhai Aur Wasl Bhi Tanhai

Dekhe Hain Bohat Hum Ne Hangaame Mohabbat Ke
Aaghaz Bhi Ruswai, Anjaam Bhi Ruswai

Yeh Bazm-e-Mohabbat Hai, Is Bazm-e-Mohabbat Mein
Deewane Bhi Sheedai, Farzaane Bhi Sheedai

Poet: Sufi Ghulam Musrafa Tabassum

So Baar Chaman Mehka, So Baar Bahaar Aayi
Lyrics in Urdu

سو بار چمن مہکا سو بار بہار آئی
دنیا کی وہی رونق دل کی وہی تنہائی

اک لحظہ بہے آنسو اک لحظہ ہنسی آئی
سیکھے ہیں نئے دل نے انداز شکیبائی

اس موسم گل ہی سے بہکے نہیں دیوانے
ساتھ ابر بہاراں کے وہ زلف بھی لہرائی

ہر درد محبت سے الجھا ہے غم ہستی
کیا کیا ہمیں یاد آیا جب یاد تری آئی

چرکے وہ دیے دل کو محرومیٔ قسمت نے
اب ہجر بھی تنہائی اور وصل بھی تنہائی

دیکھے ہیں بہت ہم نے ہنگامے محبت کے
آغاز بھی رسوائی انجام بھی رسوائی

یہ بزم محبت ہے اس بزم محبت میں
دیوانے بھی شیدائی فرزانے بھی شیدائی

 

Hamaari Saanson Mein Aaj Tak Woh Hina Ki Khushboo
Yeh Khushiyan Yeh Zindagi Yeh Lazaton Ka Saroor

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *