Allama IqbalZarb-e-Kaleem

Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman Kabhi Tu Ne – Allama Iqbal

Poem: Azadi-e-Shamsheer Ke Alan Par
Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman

Zarb-e-KaleemAllama Iqbal Poetry

 

Socha Bhi Hai Ae Mard-e-Musalman Kabhi Tu Ne
Kya Cheez Hai Foulad Ki Shamsheer-e-Jigar Dar

سوچا بھي ہے اے مرد مسلماں کبھي تو نے
کيا چيز ہے فولاد کي شمشير جگردار

Uss Bait Ka Ye Misra-e-Awwal Hai Ke Jis Mein
Poshida Chale Ate Hain Touheed Ke Asrar

اس بيت کا يہ مصرع اول ہے کہ جس ميں
پوشيدہ چلے آتے ہيں توحيد کے اسرار

Hai Fikr Mujhe Misra-e-Sani Ki Ziada
Allah Kare Tujh Ko Atta Faqr Ki Talwar

ہے فکر مجھے مصرع ثاني کي زيادہ
اللہ کرے تجھ کو عطا فقر کي تلوار

Qabze Mein Ye Talwar Aa Jaye To Momin
Ya Khalid (R.A.) Janbaz Hai Ya Haidar-e-Karar (R.A.)

قبضے ميں يہ تلوار بھي آجائے تو مومن
يا خالد جانباز ہے يا حيدر کرار

 

Read More Allama Iqbal Poetry

Na Saliqa Mujh Mein Kaleem Ka – Allama Iqbal Poetry
Punjabi Musalman – Mazhab Mein Bohat Taza Pasand
Ya Rab Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De – Allama Iqbal

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *