
Soz-E-Gham De Ke Mujhe Us Ne Ye Irshad Kiya
Josh Malihabadi
Soz-E-Gham De Ke Mujhe Us Ne Ye Irshad Kiya
Ja Tujhe Kashmakash-E-Dehr Se Azaad Kiya
Woh Karen Bhi To Kin Alfaaz Mein Tera Shikwa
Jin Ko Teri Nigah-E-Lutf Ne Barbaad Kiya
Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya
Jab Chali Sard Hawa Main Ne Tujhe Yaad Kiya
Ae Main Sou Jaan Se Us Tarz-E-Takallum Ke Nisar
Phir To Farmaiye Kya Aap Ne Irshad Kiya
Is Ka Rona Nahin Kyu Tum Ne Kiya Dil Barbaad
Is Ka Gham Hai Ke Bohat Der Mein Barbaad Kiya
Itna Manous Hoon Fitrat Se Kali Jab Chutki
Jhuk Ke Main Ne Ye Kaha Mujh Se Kuch Irshad Kiya
Meri Har Saans Hai Is Baat Ki Shahid Ae Maut
Main Ne Har Lutf Ke Mauqa Pe Tujhe Yaad Kiya
Mujh Ko To Hosh Nahin Tum Ko Khabar Ho Shayad
Log Kehte Hain Ke Tum Ne Mujhe Barbaad Kiya
Kuch Nahin Is Ke Siwa Josh Harifon Ka Kalam
Wasl Ne Shaad Kiya Hijr Ne Nashaad Kiya
سوز غم دے کے مجھے اس نے یہ ارشاد کیا
جا تجھے کشمکش دہر سے آزاد کیا
وہ کریں بھی تو کن الفاظ میں تیرا شکوہ
جن کو تیری نگہ لطف نے برباد کیا
دل کی چوٹوں نے کبھی چین سے رہنے نہ دیا
جب چلی سرد ہوا میں نے تجھے یاد کیا
اے میں سو جان سے اس طرز تکلم کے نثار
پھر تو فرمائیے کیا آپ نے ارشاد کیا
اس کا رونا نہیں کیوں تم نے کیا دل برباد
اس کا غم ہے کہ بہت دیر میں برباد کیا
اتنا مانوس ہوں فطرت سے کلی جب چٹکی
جھک کے میں نے یہ کہا مجھ سے کچھ ارشاد کیا
میری ہر سانس ہے اس بات کی شاہد اے موت
میں نے ہر لطف کے موقع پہ تجھے یاد کیا
مجھ کو تو ہوش نہیں تم کو خبر ہو شاید
لوگ کہتے ہیں کہ تم نے مجھے برباد کیا
کچھ نہیں اس کے سوا جوشؔ حریفوں کا کلام
وصل نے شاد کیا ہجر نے ناشاد کیا



