
Tarash Kar Mere Baazu Udaan Chhord Gaya
Parveen Shakir Poetry
Tarash Kar Mere Baazu Udaan Chhord Gaya
Hawa Ke Paas Barahna Kamaan Chhord Gaya
Rafaqaton Ka Meri Us Ko Dhyaan Kitna Tha
Zameen Le Li Magar Aasman Chhord Gaya
Ajeeb Shakhs Tha Baarish Ka Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dariche Pe Ek Phool Daan Chhord Gaya
Jo Badalon Se Bhi Mujh Ko Chhupaye Rakhta Tha
Badhi Hai Dhoop To Be-Saibaan Chhord Gaya
Nikal Gaya Kahin An Dekhe Paniyon Ki Taraf
Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chhord Gaya
Uqaab Ko Thi Gharaz Fakhta Pakadne Se
Jo Gir Gayi To Yun Hi Neem Jaan Chhord Gaya
Na Jaane Kaun Sa Aaseeb Dil Mein Basta Hai
Ke Jo Bhi Thehra Woh Aakhir Makaan Chhord Gaya
Aqab Mein Gehra Samandar Hai Samne Jangal
Kis Inteha Pe Mera Mehrbaan Chhord Gaya
تراش کر مرے بازو اڑان چھوڑ گیا
ہوا کے پاس برہنہ کمان چھوڑ گیا
رفاقتوں کا مری اس کو دھیان کتنا تھا
زمین لے لی مگر آسمان چھوڑ گیا
عجیب شخص تھا بارش کا رنگ دیکھ کے بھی
کھلے دریچے پہ اک پھول دان چھوڑ گیا
جو بادلوں سے بھی مجھ کو چھپائے رکھتا تھا
بڑھی ہے دھوپ تو بے سائبان چھوڑ گیا
نکل گیا کہیں ان دیکھے پانیوں کی طرف
زمیں کے نام کھلا بادبان چھوڑ گیا
عقاب کو تھی غرض فاختہ پکڑنے سے
جو گر گئی تو یوں ہی نیم جان چھوڑ گیا
نہ جانے کون سا آسیب دل میں بستا ہے
کہ جو بھی ٹھہرا وہ آخر مکان چھوڑ گیا
عقب میں گہرا سمندر ہے سامنے جنگل
کس انتہا پہ مرا مہربان چھوڑ گیا