Allama IqbalZarb-e-Kaleem

Tarbiat – Zindagi Kuch Aur Shay Hai – Allama Iqbal

Tarbiat
Zindagi Kuch Aur Shay Hai, Ilm Hai Kuch Aur Shay

Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem

 

Zindagi Kuch Aur Shay Hai, Ilm Hai Kuch Aur Shay
Zindagi Souz-e-Jigar Hai, Ilm Hai Souz-e-Damagh

زندگی کچھ اور شے ہے،علم ہے کچھ اور شے
زندگی سوز جگر ہے ،علم ہے سوز دماغ

Ilm Mein Doulat Bhi Hai, Qudrat Bhi Hai, Lazzat Bhi Hai
Aik Mushkil Hai Ke Hath Ata Nahin Apna Suragh

علم میں دولت بھی ہے ،قدرت بھی ہے ،لذت بھی ہے
ایک مشکل ہے کہ ہاتھ آتا نہیں اپنا سراغ

Ahl-e-Danish Aam Hain, Kamyaab Hain Ahl-e-Nazar
Kya Ta’ajjub Hai Ke Khali Reh Gya Tera Ayagh!

اہل دانش عام ہیں ،کم یاب ہیں اہل نظر
کیا تعجب ہے کہ خالی رہ گیا تیرا ایاغ

Sheikh-e-Maktab Ke Tareeqon Se Kushaad-e-Dil Kahan
Kis Tarah Kibriat Se Roshan Hi Bijli Ka Charagh!

شیخ مکتب کے طریقوں سے کشادہ دل کہاں
کس طرح کبریت سے روشن ہو بجلی کا چراغ

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *