Nasir Kazmi

Tere Khayal Se Lo De Uthi Hai Tanhai – Nasir Kazmi

ترے خیال سے لو دے اٹھی ہے تنہائی - ناصر کاظمی

Tere Khayal Se Lo De Uthi Hai Tanhai
Nasir Kazmi

Tere Khayal Se Lo De Uthi Hai Tanhai
Shab E Firaaq Hai Ya Teri Jalwa Aaraai

Tu Kis Khayal Mein Hai Manzilon Ke Shaidai
Unhein Bhi Dekh Jinhein Raaste Mein Neend Aai

Pukaar Ae Jaras E Karwan E Subh E Tarab
Bhatak Rahe Hain Andheron Mein Tere Saudai

Thahar Gaye Hain Sar E Raah Khaak Udaane Ko
Musafiron Ko Na Chher Ae Hawa E Sahrayi

Rah E Hayaat Mein Kuch Marhale To Dekh Liye
Ye Aur Baat Teri Aarzoo Na Raas Aai

Ye Saaneha Bhi Mohabbat Mein Baar Haa Guzra
Ke Us Ne Haal Bhi Poochha To Aankh Bhar Aai

Dil Fasurda Mein Phir Dharkanon Ka Shor Utha
Ye Beithe Beithe Mujhe Kin Dinon Ki Yaad Aai

Main Sote Sote Kai Baar Chonk Chonk Pada
Tamaam Raat Tere Pehluon Se Aanch Aai

Jahaan Bhi Tha Koi Fitna Tarap Ke Jaag Utha
Tamaam Hosh Thi Masti Mein Teri Angdaai

Khuli Jo Aankh To Kuch Aur Hi Samaan Dekha
Woh Log The Na Woh Jalse Na Sheher E Raanai

Woh Taab E Dard Woh Sauda E Intizaar Kahaan
Unhi Ke Saath Gayi Taaqat E Shakeebai

Phir Us Ki Yaad Mein Dil Bekaraar Hai Nasir
Bichhad Ke Jis Se Hui Sheher Sheher Ruswai

ترے خیال سے لو دے اٹھی ہے تنہائی
شب فراق ہے یا تیری جلوہ آرائی

تو کس خیال میں ہے منزلوں کے شیدائی
انہیں بھی دیکھ جنہیں راستے میں نیند آئی

پکار اے جرس کاروان صبح طرب
بھٹک رہے ہیں اندھیروں میں تیرے سودائی

ٹھہر گئے ہیں سر راہ خاک اڑانے کو
مسافروں کو نہ چھیڑ اے ہوائے صحرائی

رہ حیات میں کچھ مرحلے تو دیکھ لیے
یہ اور بات تری آرزو نہ راس آئی

یہ سانحہ بھی محبت میں بارہا گزرا
کہ اس نے حال بھی پوچھا تو آنکھ بھر آئی

دل فسردہ میں پھر دھڑکنوں کا شور اٹھا
یہ بیٹھے بیٹھے مجھے کن دنوں کی یاد آئی

میں سوتے سوتے کئی بار چونک چونک پڑا
تمام رات ترے پہلوؤں سے آنچ آئی

جہاں بھی تھا کوئی فتنہ تڑپ کے جاگ اٹھا
تمام ہوش تھی مستی میں تیری انگڑائی

کھلی جو آنکھ تو کچھ اور ہی سماں دیکھا
وہ لوگ تھے نہ وہ جلسے نہ شہر رعنائی

وہ تاب درد وہ سودائے انتظار کہاں
انہی کے ساتھ گئی طاقت شکیبائی

پھر اس کی یاد میں دل بے قرار ہے ناصرؔ
بچھڑ کے جس سے ہوئی شہر شہر رسوائی

 

Rog Aise Bhi Gham-e-Yaar Se Lag Jaate Hain — Ahmed Faraz
Aag Lehraa Ke Chal Rahe Ho Ise Aanchal Kar Do – Bashir Badr
Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha – Adeem Hashmi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *