
Teri Anjuman Mein Zaalim Ajab Ehtemaam Dekha
Poet: Shakeel Badayuni
Teri Anjuman Mein Zaalim Ajab Ehtemaam Dekha
Kahin Zindagi Ki Barish Kahin Qatl E Aam Dekha
Meri Arz E Shoq Parh Lein Yeh Kahan Unhein Gowara
Wahin Chaak Kar Diya Khat Jahan Mera Naam Dekha
Bari Minton Se Aa Kar Woh Mujhe Mana Rahe Hain
Main Bacha Raha Hoon Daman Mera Intiqam Dekha
Ae Shakeel Rooh Parwar Teri Bekhudi Ke Naghmay
Magar Aaj Tak Na Hum Ne Tere Lab Pe Jaam Dekha
تری انجمن میں ظالم عجب اہتمام دیکھا
کہیں زندگی کی بارش کہیں قتل عام دیکھا
میری عرض شوق پڑھ لیں یہ کہاں انہیں گوارا
وہیں چاک کر دیا خط جہاں میرا نام دیکھا
بڑی منتوں سے آ کر وہ مجھے منا رہے ہیں
میں بچا رہا ہوں دامن مرا انتقام دیکھا
اے شکیلؔ روح پرور تری بے خودی کے نغمے
مگر آج تک نہ ہم نے ترے لب پہ جام دیکھا
Tujh Se Naraz Nahin Zindagi, Hairan Hoon Main (Lyrics)
Raat Ke Andheron Ko Roshni Woh Kya De Ga – Urdu Shayari
Ghazal – Baatein To Kuch Aisi Hain Ke Khud Se Bhi Na Ki Jaayein




