
Teri Baatein Hi Sunane Aaye
Ahmad Faraz Poetry in Urdu
Teri Baatein Hi Sunane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamane Aaye
Aisi Kuchh Chup Si Lagi Hai Jaise
Hum Tujhe Haal Sunane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-E-Manzil-E-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye
Ajnabi Dost Humein Dekh Ke Hum
Kuchh Tujhe Yaad Dilane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar Ke Hungam
Kaash Phir Koi Bulane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shayad Ab Hosh Thikane Aaye
Kya Kahein Phir Koi Basti Ujri
Log Kyun Jashn Manane Aaye
So Raho Maut Ke Pehlu Mein Faraz
Neend Kis Waqt Na Jaane Aaye
تیری باتیں ہی سنانے آئے
دوست بھی دل ہی دکھانے آئے
پھول کھلتے ہیں تو ہم سوچتے ہیں
تیرے آنے کے زمانے آئے
ایسی کچھ چپ سی لگی ہے جیسے
ہم تجھے حال سنانے آئے
عشق تنہا ہے سر منزل غم
کون یہ بوجھ اٹھانے آئے
اجنبی دوست ہمیں دیکھ کہ ہم
کچھ تجھے یاد دلانے آئے
دل دھڑکتا ہے سفر کے ہنگام
کاش پھر کوئی بلانے آئے
اب تو رونے سے بھی دل دکھتا ہے
شاید اب ہوش ٹھکانے آئے
کیا کہیں پھر کوئی بستی اجڑی
لوگ کیوں جشن منانے آئے
سو رہو موت کے پہلو میں فرازؔ
نیند کس وقت نہ جانے آئے
Wo Chahte Ho So Kehte Ho (Lyrics) – Mehdi Hassan
Aisaa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi – Khumar Barabankvi
Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna – Qateel Shifai