
Teri Hijraton Ka Malaal Tha Magar Ab Nahin
Teri Hijraton Ka Malaal Tha Magar Ab Nahin
Mujhe Sirf Tera Khayaal Tha Magar Ab Nahin
Teri Be-Misaal Mohabbaton Ke Nisaar Mein
Tu Zamaane Bhar Mein Misaal Tha Magar Ab Nahin
Jise Tune Dard Ata Kiya Wohi Aadmi
Teri Qurbaton Mein Nihaal Tha Magar Ab Nahin
Tera Hijr Meri Bashaaraton Ko Nigal Gaya
Mujhe Shaayari Mein Kamaal Tha Magar Ab Nahin
Main Teri Talaash Mein Reza Reza Bikhar Gaya
Woh Junoon-e-Shoq-e-Wisaal Tha Magar Ab Nahin
Tere Dar Pe Aakhri Baar Aa Ke Palat Gaya
Meri Zindagi Ka Sawaal Tha Magar Ab Nahin
تیری ہجرتوں کا ملال تھا مگر اب نہیں
مجھے صرف تیرا خیال تھا مگر اب نہیں
تیری بے مثال محبتوں کے نثار میں
توں زمانے بھر میں مثال تھا مگر اب نہیں
جسے توں نے درد عطا کیا وہی آدمی
تیری قربتوں میں نہال تھا مگر اب نہیں
تیرا ہجر میری بشارتوں کو نگل گیا
مجھے شاعری میں کمال تھا مگر اب نہیں
میں تیری تلاش میں ریزہ رہزہ بکھر گیا
وہ جنون شوق وصال تھا مگر اب نہیں
تیرے در پہ آخری بار آ کے پلٹ گیا
میری زنگی کا سوال تھا مگر اب نہیں۔۔