Jaan Nisar Akhtar

Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai – Jaan Nisar Akhter

Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai
Tujhe Alag Se Jo Sochun Ajeeb Lagta Hai

Jise Na Husn Se Matlab Na Ishq Se Sarokar
Woh Shakhs Mujh Ko Bohat Bad-Naseeb Lagta Hai

Hudood-E-Zaat Se Bahar Nikal Ke Dekh Zara
Na Koi Ghair Na Koi Raqeeb Lagta Hai

Yeh Dosti Yeh Marasim Yeh Chahatein Yeh Khuloos
Kabhi Kabhi Mujhe Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai

Ufaq Pe Door Chamkta Hua Koi Taara
Mujhe Chiragh-E-Diyar-E-Habib Lagta Hai

تو اس قدر مجھے اپنے قریب لگتا ہے
تجھے الگ سے جو سوچوں عجیب لگتا ہے

جسے نہ حسن سے مطلب نہ عشق سے سروکار
وہ شخص مجھ کو بہت بد نصیب لگتا ہے

حدود ذات سے باہر نکل کے دیکھ ذرا
نہ کوئی غیر نہ کوئی رقیب لگتا ہے

یہ دوستی یہ مراسم یہ چاہتیں یہ خلوص
کبھی کبھی مجھے سب کچھ عجیب لگتا ہے

افق پہ دور چمکتا ہوا کوئی تارا
مجھے چراغ دیار حبیب لگتا ہے

 

Haq Meri Mohabbat Ka Ada Kyun Nahi Karte
Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha, Tera Kia Bana? 
Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna – Qateel Shifai
Agarche Main Ek Chatan Sa Aadmi Raha Hoon – Mohsin Naqvi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *