
Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai
Poet: Jan Nisar Akhtar
Tu Is Qadar Mujhe Apne Qareeb Lagta Hai
Tujhe Alag Se Jo Sochun Ajeeb Lagta Hai
Jise Na Husn Se Matlab Na Ishq Se Sarokaar
Woh Shakhs Mujh Ko Bohat Badnaseeb Lagta Hai
Hudood-e-Zaat Se Baahar Nikal Ke Dekh Zara
Na Koi Ghair Na Koi Raqeeb Lagta Hai
Yeh Dosti Yeh Marasim Yeh Chahatein Yeh Khuloos
Kabhi Kabhi Mujhe Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai
Ufaq Pe Door Chamakta Hua Koi Taara
Mujhe Chiraagh-e-Diyaar-e-Habeeb Lagta Hai
تو اس قدر مجھے اپنے قریب لگتا ہے
تجھے الگ سے جو سوچوں عجیب لگتا ہے
جسے نہ حسن سے مطلب نہ عشق سے سروکار
وہ شخص مجھ کو بہت بد نصیب لگتا ہے
حدود ذات سے باہر نکل کے دیکھ ذرا
نہ کوئی غیر نہ کوئی رقیب لگتا ہے
یہ دوستی یہ مراسم یہ چاہتیں یہ خلوص
کبھی کبھی مجھے سب کچھ عجیب لگتا ہے
افق پہ دور چمکتا ہوا کوئی تارا
مجھے چراغ دیار حبیب لگتا ہے