
Tum Aaye Ho Na Shab-E-Intezaar Guzri Hai
Faiz Ahmad Faiz Poetry
Tum Aaye Ho Na Shab-E-Intezaar Guzri Hai
Talaash Mein Hai Sehar Baar Baar Guzri Hai
Junoon Mein Jitni Bhi Guzri, Bakar Guzri Hai
Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai
Hui Hai Hazrat-E-Naasih Se Guftagu Jis Shab
Woh Shab Zaroor Sar-E-Kooy-E-Yaar Guzri Hai
Woh Baat Saare Fasane Mein Jis Ka Zikr Na Tha
Woh Baat Un Ko Bohat Na-Gawaar Guzri Hai
Na Gul Khile Hain, Na Un Se Mile, Na Mai Pee Hai
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai
Chaman Pe Ghaarat-E-Gulchin Se Jaane Kya Guzri
Qafas Se Aaj Saba Beqaraar Guzri Hai
تم آئے ہو نہ شب انتظار گزری ہے
تلاش میں ہے سحر بار بار گزری ہے
جنوں میں جتنی بھی گزری بکار گزری ہے
اگرچہ دل پہ خرابی ہزار گزری ہے
ہوئی ہے حضرت ناصح سے گفتگو جس شب
وہ شب ضرور سر کوئے یار گزری ہے
وہ بات سارے فسانے میں جس کا ذکر نہ تھا
وہ بات ان کو بہت نا گوار گزری ہے
نہ گل کھلے ہیں نہ ان سے ملے نہ مے پی ہے
عجیب رنگ میں اب کے بہار گزری ہے
چمن پہ غارت گلچیں سے جانے کیا گزری
قفس سے آج صبا بے قرار گزری ہے
Dil Mein Ek Tasveer Chhupi Thi – Bashir Badr Poetry
Phal Jaye Mohabbat To Mohabbat Hai Mohabbat – Ghazal
Ojhal Sahi Nigah Se Dooba Nahin Hoon Main – Amjad Islam Amjad