
Tum Ne Sach Bolne Ki Jurrat Ki
Yeh Bhi Tauheen Hai Adaalat Ki
Manzilen Raaston Ki Dhool Huwein
Pooshte Kya Ho Tum Masaafat Ki
Apna Zaad-e-Safar Bhi Chhor Gaye
Jaane Walon Ne Kitni Ujlat Ki
Pehle Mujh Se Juda Hua Aur Phir
Aks Ne Aaine Se Hijrat Ki
Itna Mushkil Nahin Tujhe Paana
Ek Ghari Chahiye Hai Fursat Ki
Hum Ne To Khud Se Intiqaam Liya
Tum Ne Kya Soch Kar Mohabbat Ki
Kaun Kis Ke Liye Tabah Hua
Kya Zarurat Hai Iss Wazahat Ki
Hum Wahan Pehle Reh Chuke Hain Saleem
Tum Ne Jis Dil Mein Ab Sukoonat Ki
تم نے سچ بولنے کی جرأت کی
یہ بھی توہین ہے عدالت کی
منزلیں راستوں کی دھول ہوئیں
پوچھتے کیا ہو تم مسافت کی
اپنا زاد سفر بھی چھوڑ گئے
جانے والوں نے کتنی عجلت کی
پہلے مجھ سے جدا ہوا اور پھر
عکس نے آئینے سے ہجرت کی
اتنا مشکل نہیں تجھے پانا
اک گھڑی چاہیئے ہے فرصت کی
ہم نے تو خود سے انتقام لیا
تم نے کیا سوچ کر محبت کی
کون کس کے لیے تباہ ہوا
کیا ضرورت ہے اس وضاحت کی
ہم وہاں پہلے رہ چکے ہیں سلیمؔ
تم نے جس دل میں اب سکونت کی
سلیم کوثر




