Turk-e-Ulfat Ka Sila Paa Bhi Liya Hai Main Ne
Qateel Shifai Poetry
Turk-e-Ulfat Ka Sila Paa Bhi Liya Hai Main Ne
Ab To Aa Ja Ke Tujhe Yaad Kiya Hai Main Ne
Aas Ki Teri Judaai Na Kabhi Raas Mujhe
Tujh Se Bichhda To Ye Hone Laga Ehsaas Mujhe
Apne Haathon Se Koi Zeher Piya Hai Main Ne
Gungunaati Hai Wafa Rooh Mein Rum Jhum Ki Tarah
Saamne Apne Khara Hoon Kisi Mujrim Ki Tarah
Aaj To Sharm Se Dhaanp Liya Hai Main Ne
Jo Bhi Shikwa Hai Bhulaana Hi Parega Tujh Ko
Ek Na Ek Roz To Aana Hi Parega Tujh Ko
Dil Ka Darwaaza Khula Chhod Diya Hai Main Ne
Ab To Aa Ja Ke Tujhe Yaad Kiya Hai Main Ne
– Qateel Shifai
ترکِ اُلفت کا صلہ پا بھی لیا ہے میں نے
اب تو آ جا کہ تجھے یاد کیا ہے میں نے
آسکی تیری جدائی نہ کبھی راس مجھے
تجھ سے بچھڑا تو یہ ہونے لگا احساس مجھے
اپنے ہاتھوں سے کوئی زہر پیا ہے میں نے
گنگناتی ہے وفا روح میں رم جھم کی طرح
سامنے اپنے کھڑا ہوں کسی مجرم کی طرح
آج تو شرم سے ڈھانپ لیا ہے میں نے
جو بھی شکوہ ہے بھلانا ہی پڑے گا تجھکو
اک نہ اک روز تو آنا ہی پڑے کا تجھکو
دل کا دروازہ کھلا چھوڑ دیا ہے میں نے
اب تو آ جا کہ تجھے یاد کیا ہے میں نے
قتیل شفائی