Noshi Gilani

Udaas Shaam Ki Aik Nazm – Noshi Gilani

اداس شام کی ایک نظم - نوشی گیلانی

Udaas Shaam Ki Aik Nazm

اداس شام کی ایک نظم

وصال ُرت کی یہ پہلی دستک ہی سرزنش تھی
کہ ہجر موسم نے رستے رستے سفر کا آغاز کیا
تمہارے ہاتھوں کالمس جب میری وفا کی ہتھیلوں پر حنا بنے گا
تو سوچ لوں گی
رفاقتوں کا سنہرا سورج غروب کے امتحان میں
ہمارے باغوں سے سے گر کبھی تتلیوں کی خوشبو نہ گزر پائے تو یہ نہ کہنا کہ تتلیوں نے گلاب رستے بدل لیے ہیں
اگر کوئی شام یوں بھی آئے کے ہم تم لگے پرائے
تو جان لینا
کے شام بے بس تھی شب کی تاریکیوں کے ہاتھوں
تمہاری خوہش کی مٹھیاں بے دھانیوں میں کبھی کھلیں تو یقین کرنا
کہ میری چاہت کے جگنوؤں نے
تمھارے ہاتھوں کے لمس تازہ کی خوہشوں میں
بڑے گھنیرے اندھیرے کاٹے
مگر یہ خدشے ، یہ وسوسے تو تکلفاََ ہیں

ہم اپنے جذبوں کو منجمدرائیگانیوں کے سپرد کر کے
یہ سوچ لے گے
کہ ہجر موسم تو وصل کی پہلی شام سے ہی
سفر کا آغاز کر چکا تھا

Udaas Shaam Ki Aik Nazm

Wisaal Rut Ki Yeh Pehli Dastak Hi Sarzanish Thi
Ke Hijr Mausam Ne Raste Raste Safar Ka Aaghaz Kiya

Tumhare Haathon Ka Lams Jab Meri Wafa Ki Hateelon Par Hina Banega
To Soch Longi
Rafaqaton Ka Sunehra Sooraj Ghuroob Ke Imtihaan Mein
Hamare Baaghon Se Agar Kabhi Titliyon Ki Khushboo Na Guzar Paaye
To Yeh Na Kehna Ke Titliyon Ne Gulaab Raste Badal Liye Hain

Agar Koi Shaam Yun Bhi Aaye Ke Hum Tum Lage Paraaye
To Jaan Lena
Ke Shaam Bebas Thi Shab Ki Tareekiyon Ke Haathon

Tumhari Khwahish Ki Mithiyan Be-Dhaaniyon Mein Kabhi Khulain
To Yaqeen Karna
Ke Meri Chahat Ke Jugnuon Ne
Tumhare Haathon Ke Lams-e-Taaza Ki Khwahishon Mein
Baday Ghaneeray Andheray Kaate

Magar Yeh Khadshe, Yeh Waswase To Takallufan Hain

Hum Apne Jazbon Ko Munjamad Raigayaniyon Ke Supurd Kar Ke
Yeh Soch Lenge
Ke Hijr Mausam To Wisaal Ki Pehli Shaam Se Hi
Safar Ka Aaghaz Kar Chuka Tha.

 

Khwab Ke Qaidi Rahe To Kuch Nazar Aata Na Tha 
Tere Jaisa Mera Bhi Haal Tha – Aitbar Sajid
Hai Ajeeb Sheher Ki Zindagi – Bashir Badr

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *