
Udaasiyon Ka Yeh Mausam Badal Bhi Sakta Tha
Mohsin Naqvi Poetry in Urdu
Udaasiyon Ka Yeh Mausam Badal Bhi Sakta Tha
Woh Chahata To Mere Saath Chal Bhi Sakta Tha
Woh Shakhs, Tu Ne Jise Chhod Ne Mein Jaldi Ki
Tere Mizaaj Ke Saanchay Mein Dhal Bhi Sakta Tha
Woh Jaldbaz, Khafa Hokay Chal Diya Wagarna
Tanazuaat Ka Kuch Hal Nikal Bhi Sakta Tha
Un Ne Haath Uthaanay Nahi Diye Wagarna
Meri Dua Se Woh Pathar Pighal Bhi Sakta Tha
Tamaam Umar Tera Muntazir Raha Mohsin
Yeh Aur Baat Ke Rasta Badal Bhi Sakta Tha
اداسیوں کایہ موسم بدل بھی سکتاتھا
وہ چاہتاتومیرےساتھ چل بھی سکتاتھا
وہ شخص, تو نے جسے چھوڑ نے میں جلدی کی
ترےمزاج کےسانچےمیں ڈھل بھی سکتا تھا
وہ جلدباز, خفاہوکےچل دیاورنہ
تنازعات کا کچھ حل نکل بھی سکتاتھا
انانےہاتھ اٹھانےنہیں دئیےورنہ
میری دعاسےوہ پتھرپگھل بھی سکتاتھا
تمام عمرتیرامنتظر رہامحسن
یہ اوربات کہ رستہ بدل بھی سکتاتھا
محسن نقوی
Ghazal – Bas Ek Rasta Hai, Ek Aawaaz Aur Ek Saaya Hai
Kya Hai Pyar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah – Qateel Shifai
Yeh Fakhar To Haasil Hai Buray Hain Ke Bhale Hain – Ada Jafarey
Yeh Jafa-e-Gham Ka Chaara, Woh Nijaat-e-Dil Ka Aalam – Faiz



