Parveen Shakir

Umar Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye – Parveen Shakir

عمر کا بھروسہ کیا، پل کا ساتھ ہوجائے - پروین شاکر

Umar Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye
Parveen Shakir

عمر کا بھروسہ کیا، پل کا ساتھ ہوجاے
اک بار اکیلے میں ، اس سے بات ہوجاے
دل کی گنگ سرشاری اس کوجیت لے لیکن
عرض حال کرنے میں احتیاط ہوجاے
ایسا کیوں کے جانے سے صرف ایک انسان کے
ساری ذندگانی ہی بے ثبات ہو جاے
یاد کرتا جاے دل اور کھلتا جاے دل
اوس کی طرح کوئ پات پات ہو جاے
سب چراغ گل کرکے اس کا ہاتھ تھاما تھا
کیا قصور اس کا،جو بَن میں رات ہوجاے
اک بار کھیلےتو وہ میری طرح اور پھر
جیت لے وہ ہر باذی،مجھے مات ہو جاے
رات ہو پڑاو کی پھر بھی جاگے ورنآ
آپ سوتے رہ جائیں اور ہات ہوجاے عمر کا بھروسآ

Umar Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye
Ek Baar Akele Mein, Us Se Baat Ho Jaaye

Dil Ki Gung Sarshaari Us Ko Jeet Le Lekin
Arz-e-Haal Karne Mein Ihtiyaat Ho Jaaye

Aisa Kyun Ke Jaane Se Sirf Ek Insaan Ke
Saari Zindagaani Hi Be Sabaat Ho Jaaye

Yaad Karta Jaaye Dil Aur Khilta Jaaye Dil
Oas Ki Tarah Koi Paat Paat Ho Jaaye

Sab Chiraagh Gul Karke Us Ka Haath Thaama Tha
Kya Qasoor Us Ka, Jo Ban Mein Raat Ho Jaaye

Ek Baar Kheley To Woh Meri Tarah Aur Phir
Jeet Le Woh Har Baazi, Mujhe Maat Ho Jaaye

Raat Ho Puraav Ki Phir Bhi Jaage Warna
Aap Sote Reh Jaayein Aur Haath Ho Jaaye

Woh Log Mere Bohat Pyaar Karne Waale Thay – Urdu Ghazal
Kisi Bashar Mein Hazaar Khaami Agar Jo Dekho – Iftikhar Iffi
Guzre Hue Taweel Zamaane Ke Baad Bhi – Adeem Hashmi

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *