Urdu Poetry (Misc)

Umar Ki Saari Thakan Laad Ke Ghar Jata Hoon – Urdu Poetry

Umar Ki Saari Thakan Laad Ke Ghar Jata Hoon

Poet: Anjum Saleemi

Umar Ki Saari Thakan Laad Ke Ghar Jata Hoon
Raat Bistar Pe Main Sota Nahin Mar Jata Hoon

Aksar Auqaat Bhare Shehar Ke Sanate Mein
Is Qadar Zor Se Hansa Hoon Ke Dar Jata Hoon

Mujh Se Puchhe To Sahi Aaina Khana Mera
Khaal O Khud Le Ke Main Hum Rah Kidhar Jata Hoon

Dil Thahar Jata Hai Bhooli Hui Manzil Mein Kahin
Main Kisi Doosre Raste Se Guzar Jata Hoon

Sehma Rehta Hoon Bohat Halqa-E-Ahbab Mein Main
Chaar Deewar Mein Aate Hi Bikhar Jata Hoon

Mere Aane Ki Khabar Sirf Diya Rakhta Hai
Main Hawaon Ki Tarah Ho Ke Guzar Jata Hoon

Maine Jo Apne Khilaf Aap Gawahi Di Hai
Woh Tere Haq Mein Nahin Hai To Mukar Jata Hoon

عمر کی ساری تھکن لاد کے گھر جاتا ہوں
رات بستر پہ میں سوتا نہیں مر جاتا ہوں

اکثر اوقات بھرے شہر کے سناٹے میں
اس قدر زور سے ہنستا ہوں کہ ڈر جاتا ہوں

مجھ سے پوچھے تو سہی آئینہ خانہ میرا
خال و خد لے کے میں ہم راہ کدھر جاتا ہوں

دل ٹھہر جاتا ہے بھولی ہوئی منزل میں کہیں
میں کسی دوسرے رستے سے گزر جاتا ہوں

سہما رہتا ہوں بہت حلقۂ احباب میں میں
چار دیوار میں آتے ہی بکھر جاتا ہوں

میرے آنے کی خبر صرف دیا رکھتا ہے
میں ہواؤں کی طرح ہو کے گزر جاتا ہوں

میں نے جو اپنے خلاف آپ گواہی دی ہے
وہ ترے حق میں نہیں ہے تو مکر جاتا ہوں

 

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha – Parveen Shakir
Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye – Urdu Poetry
Aastaan Hai Ye Kis Shaah-E-Zeeshaan Kaa (Lyrics in Urdu)

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *