Urdu Poetry (Misc)

Us Jheel Kinare Pal Do Pal – Urdu Poetry 

Urdu Poetry 

Us Jheel Kinare Pal Do Pal
Ek Khawab Ka Neela Phool Khile
Woh Phool Baha Dein Lehron Mein
Ek Roz Kabhi Hum Shaam DhaleUs Phool Ke Bahte Rangon Mein
Jis Waqt Larazta Chaand Chale
Us Waqt Kahin Un Aankhon Mein Us Basre Pal Ki Yaad To Ho
Un Jheel Si Gehari Aankhon Mein Ek Shaam Kahin Aabaad To HoPhir Chahe Umar Samandar Ki
Har Mouj Pareshan Ho Jaye
Phir Chahe Aankh Dariche Se
Har Khawab Girezan Ho JayePhir Chahe Phool Se Chehre Ka
Har Dard Numayaan Ho Jaye
Us Jheel Kinare Pal Do Pal Woh Roop Nagar Ijaad To Ho
Din Raat Ke Is Aaine Se Woh Aks Kabhi Azaad To Ho
Un Jheel Si Gehari Aankhon Mein Ek Shaam Kahin Aabaad To Ho

‏اُس جھیل کنارے پل دو پل

‏اک خواب کا نیلا پھول کھلے

‏وہ پھول بہا دیں لہروں میں

‏اک روز کبھی ہم شام ڈھلے

‏اُس پھول کے بہتے رنگوں میں

‏جس وقت لرزتا چاند چلے

‏اُس وقت کہیں ان آنکھوں میں اُس بسرے پل کی یاد تو ہو

‏اُن جھیل سی گہری آنکھوں میں اک شام کہیں آباد تو ہو‏

پھر چاہے عُمر سمندر کی

‏ہر موج پریشاں ہو جائے

‏پھر چاهے آنکھ دریچے سے

‏ہر خواب گریزاں ہو جائے

‏پھر چاہے پھول سے چہرے کا

‏ہر درد نمایاں ہو جائے

‏اُس جھیل کنارے پل دو پل وہ رُوپ نگر ایجاد تو ہو

‏دن رات کے اس آئینے سے وہ عکس کبھی آزاد تو ہو

‏اُن جھیل سی گہری آنکھوں میں اک شام کہیں آباد تو ہو

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *