
Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga
Poet: Nida Fazli
Us Ke Dushman Hain Bahut Aadmi Achchha Hoga
Wo Bhi Meri Hi Tarah Shahr Mein Tanha Hoga
Itna Sach Bol Ki HonTon Ka Tabassum Na Bujhe
Raushni KHatm Na Kar Aage Andhera Hoga
Pyas Jis Nahr Se Takrai Wo Banjar Nikli
Jis Ko Pichhe Kahin ChhoD Aae Wo Dariya Hoga
Mere Bare Mein Koi Rae To Hogi Us Ki
Us Ne Mujh Ko Bhi Kabhi ToD Ke Dekha Hoga
Ek Mahfil Mein Kai Mahfilen Hoti Hain Sharik
Jis Ko Bhi Pas Se Dekhoge Akela Hoga
اس کے دشمن ہیں بہت آدمی اچھا ہوگا
وہ بھی میری ہی طرح شہر میں تنہا ہوگا
اتنا سچ بول کہ ہونٹوں کا تبسم نہ بجھے
روشنی ختم نہ کر آگے اندھیرا ہوگا
پیاس جس نہر سے ٹکرائی وہ بنجر نکلی
جس کو پیچھے کہیں چھوڑ آئے وہ دریا ہوگا
مرے بارے میں کوئی رائے تو ہوگی اس کی
اس نے مجھ کو بھی کبھی توڑ کے دیکھا ہوگا
ایک محفل میں کئی محفلیں ہوتی ہیں شریک
جس کو بھی پاس سے دیکھو گے اکیلا ہوگا
Read More:
Zindagi Yun Hui Basar Tanha – Gulzar Poetry
Ab Bhala Chord ke Ghar Kia Karty – Parveen Shakir Poetry
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai – Urdu Poetry