Ahmad Faraz

Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya – ٖFaraz

Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya
Ahmad Faraz Poetry in Urdu

اس نے سکوتِ شب میں بھی اپنا پیام رکھ دیا
ہجر کی رات بام پر ماہِ تمام رکھ دیا

آمدِ دوست کی نوید کوئے وفا میں گرم تھی
میں نے بھی اک چراغ سا دل سرِ شام رکھ دیا

شدتِ تشنگی میں بھی غیرتِ میکشی رہی
اس نے جو پھیرلی نظر میں نے بھی جام رکھ دیا

اس نے نظر نظر میں ہی ایسے بھلے سخن کہے
میں نے تو اس کے پاؤں میں سارا کلام رکھ دیا

دیکھو یہ میرے خواب تھے دیکھو یہ میرے زخم ہیں
میں نے تو سب حسابِ جاں برسرِ عام رکھ دیا

اب کے بہار نے بھی کیں ایسی شرارتیں کہ بس
کبکِ دری کی چال میں تیرا خرام رکھ دیا

جو بھی ملا اسی کا دل حلقہ بگوشِ یار تھا
اس نے تو سارے شہر کو کرکے غلام رکھ دیا

اور فرازؔ چاہئیں کتنی محبتیں تجھے
ماؤں نے تیرے نام پر بچوں کا نام رکھ دیا

Us Ne Sukoot-e-Shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya
Hijr Ki Raat Bam Par Mah-e-Tamam Rakh Diya

Aamad-e-Dost Ki Naveed Koo-e-Wafa Mein Garm Thi
Main Ne Bhi Ek Charagh Sa Dil Sar-e-Shaam Rakh Diya

Shiddat-e-Tashnagi Mein Bhi Ghairat-e-Mekshi Rahi
Us Ne Jo Phair Li Nazar Main Ne Bhi Jaam Rakh Diya

Us Ne Nazar Nazar Mein Hi Aise Bhale Sukhan Kehe
Main Ne To Us Ke Paon Mein Sara Kalaam Rakh Diya

Dekho Yeh Mere Khwab The Dekho Yeh Mere Zakhm Hain
Main Ne To Sab Hisab-e-Jaan Barsar-e-Aam Rakh Diya

Ab Ke Bahar Ne Bhi Keen Aisi Shararatain Ke Bas
Kabak-e-Dari Ki Chaal Mein Tera Kharaam Rakh Diya

Jo Bhi Mila Isi Ka Dil Halqa Begoosh-e-Yaar Tha
Us Ne To Sare Shehar Ko Karke Ghulam Rakh Diya

Aur Faraz Chahiye Kitni Mohabbatein Tujhe
Maaon Ne Tere Naam Par Bachon Ka Naam Rakh Diya

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *