
Use Kehna, December Aa Gaya Hai
Usay kehna, December aa gaya hai,
December ke guzarte hi baras ek aur maazi ki gupha mein doob jaayega.
Usay kehna, December laut aaye ga,
Magar jo khoon so jaaye ga, jismon mein na jaaye ga.
Usay kehna, hawaen sard hain,
Aur zindagi ke kehrey deewaron mein larzan hain.
Usay kehna, shugufay tehniyon mein so rahe hain,
Aur un par barf ki chadar bichi hai.
Usay kehna, agar sooraj na niklay ga,
To kaise barf pighlay gi…
Usay kehna — ke laut aaye.
اسے کہنا دسمبر آ گیا ہے
دسمبر کے گزرتے ہی برس اک اور ماضی کی گپھا میں ڈوب جائے گا
اسے کہنا دسمبر لوٹ آئے گا
مگر جو خون سو جائے گا جسموں میں نہ جائے گا
اسے کہنا ہوائیں سرد ہیں اور زندگی کے کہرے دیواروں میں لرزاں ہیں
اسے کہنا شگوفے ٹہنیوں میں سو رہے ہیں
اور ان پر برف کی چادر بچھی ہے
اسے کہنا اگر سورج نہ نکلے گا
تو کیسے برف پگھلے گی
اسے کہنا کہ لوٹ آئے
Jaatay Saal Ki Aakhri Shab Hai – New Year Poetry
2 Line Chand Poetry in Urdu Text – Moon Poetry in Urdu


![Toote Hue Khwabon Ne Hum Ko Ye Sikhaya Hai [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/11/pexels-bruna-fossile-183845208-29707939-390x220.jpg)
