Ghazal

Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinaare Ho Bhi Sakta Hai – Ghazal

Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinaare Ho Bhi Sakta Hai

Poet: Arfia Shahzad

 

Woh Aadat Hai To Aadat Se Kinaare Ho Bhi Sakta Hai
Magar Is Saari Koshish Mein Khasara Ho Bhi Sakta Hai

Rahein Ge Saath Phir Bhi Hum Mohabbat Mar Gayi Kya Gham
Ke Masnoi Tanaffus Par Guzara Ho Bhi Sakta Hai

Agar Aankhein Na Bhar Aayein To Dil Muthi Mein Aaye Ga
Hua Hai Haal Jo Mera Tumhara Ho Bhi Sakta Hai

Khuli Aankhon Mein Thehra Khwab Kaise Toot Sakta Hai
Gumaan Yeh Zindagi Bhar Ka Sahara Ho Bhi Sakta Hai

Jo Itni Jagmagahat Dekhte Ho Aas Paas Apne
Yeh Meri Aankh Se Toota Sitara Ho Bhi Sakta Hai

Humein Hairat Se Mat Dekho Ab Aisa Kya Kiya Humne
Zameeni Ishq Hai Sahab Dobara Ho Bhi Sakta Hai

وہ عادت ہے تو عادت سے کنارے ہو بھی سکتا ہے
مگر اس ساری کوشش میں خسارہ ہو بھی سکتا ہے

رہیں گے ساتھ پھر بھی ہم محبت مر گئی کیا غم
کہ مصنوعی تنفس پر گزارا ہو بھی سکتا ہے

اگر آنکھیں نہ بھر آئیں تو دل مٹھی میں آئے گا
ہوا ہے حال جو میرا تمہارا ہو بھی سکتا ہے

کھلی آنکھوں میں ٹھہرا خواب کیسے ٹوٹ سکتا ہے
گماں یہ زندگی بھر کا سہارا ہو بھی سکتا ہے

جو اتنی جگمگاہٹ دیکھتے ہو آس پاس اپنے
یہ میری آنکھ سے ٹوٹا ستارہ ہو بھی سکتا ہے

ہمیں حیرت سے مت دیکھو اب ایسا کیا کیا ہم نے
زمینی عشق ہے صاحب دوبارہ ہو بھی سکتا ہے

 

2 Line Chand Poetry in Urdu Text
Ojhal Sahi Nigah Se Dooba Nahin Hoon Main
Aap Ko Dekh Kar Dekhta Rah Gaya 

 

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *