
Woh Aks-e-Mauj-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
(Parveen Shakir)
Woh Aks-e-Mauj-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha,
Woh Rang Rang Mein Utra, Kiran Kiran Mein Raha.
Woh Naam Haasil-e-Fun Hokar Mere Fun Mein Raha,
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha.
Sukoon-e-Dil Ke Liye Main Kahaan Kahaan Na Gayi,
Magar Yeh Dil Ke Sada Uss Ki Anjuman Mein Raha.
Woh Shehr Walon Ke Aage Kahin Mohazzab Tha,
Woh Aik Shakhs Jo Shehron Se Door Ban Mein Raha.
Chiraagh Bujhtay Rahe, Khwaab Jaltay Rahe,
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha
وُہ عکسِ موجۂ گُل تھا ، چمن چمن میں رہا
وُہ رَنگ رَنگ میں اُترا ـــــ کِرن کِرن میں رہا
وُہ نام حاصلِ فن ہو کے میرے فن میں رہا
کہ رُوح بن کے مِری سوچ کے بدن میں رہا
سکونِ دِل کے لیے مَیں کہاں کہاں نہ گئی
مگر یہ دِل ، کہ سدا اُس کی انجمن میں رہا
وُہ شہر والوں کے آگے کہِیں مہذّب تھا
وُہ ایک شخص جو شہروں سے دُور بن میں رہا
چراغ بُجھتے رہے ،،، اور خُواب جلتے رہے
عجیب طرز کا موسم مِرے وطن میں رہا
پروینؔ شاکر
Ab Kahaan Aur Kisi Cheez Ki Jaa Rakhi Hai – Anwar Masood
Chhord Jaane Pe Parindon Ki Muzammat Ki Ho – Urdu Poetry
Ghazal – Toot Jata Hai Sitaron Ka Bahram Raat Gaye




