Abbas Tabish

Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai – Abbas Tabish

یار کے غم کو عجب نقش گری آتی ہے

Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai
Abbas Tabish

Yaar Ke Gham Ko Ajab Naqsh Gari Aati Hai
Poor Poor Aankh Ki Manind Bhari Jaati Hai

Be Talluq Na Humein Jaan Ke Hum Jaante Hain
Kitna Kuch Jaan Ke Yeh Bekhabri Aati Hai

Is Qadar Gondhna Parti Hai Lahoo Se Mitti
Haath Ghul Jaate Hain Phir Kozagari Aati Hai

Kitna Rakhte Hain Woh Is Shehr E Khamoshan Ka Khayaal
Roz Ek Naav Gulaabon Se Bhari Aati Hai

Zindagi Kaise Basar Hogi Ke Hum Ko Tabish
Sabr Aata Hai Na Aashufta Sari Aati Hai

یار کے غم کو عجب نقش گری آتی ہے
پور پور آنکھ کی مانند بھری جاتی ہے

بےتعلق نہ ہمیں جان کہ ہم جانتے ہیں
کتنا کچھ جان کے یہ بےخبری آتی ہے

اس قدر گوندھنا پڑتی ہے لہو سے مٹی
ہاتھ گُھل جاتے ہیں پھر کوزہ گری آتی ہے

کتنا رکھتے ہیں وہ اس شہرِ خموشاں کا خیال
روز ایک ناؤ گلابوں سے بھری آتی ہے

زندگی کیسے بسر ہوگی کہ ہم کو تابش
صبر آتا ہے نہ آشفتہ سری آتی ہے

 

Tay Kar Na Saka Zeest Ke Zakhmon Ka Safar Bhi – Mohsin Naqvi
Khayaal Jis Ka Tha Mujhe, Khayaal Mein Mila Mujhe – Ghazal
Woh Jo Milte The Kabhi Hum Se Diwanoon Ki Tarah – Lyrics

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *