
Yeh Ajab Saat-e-Rukhsat Hai Ke Dar Lagta Hai
Abbas Tabish Poetry
Yeh Ajab Saat-e-Rukhsat Hai Ke Dar Lagta Hai
Shehr Ka Shehr Mujhe Rakht-e-Safar Lagta Hai
Raat Ko Ghar Se Nikalte Hue Dar Lagta Hai
Chaand Deewar Pe Rakha Hua Sar Lagta Hai
Hum Ko Dil Ne Nahi Halaat Ne Nazdeek Kiya
Dhoop Mein Door Se Har Shakhs Shajar Lagta Hai
Jis Pe Chalte Hue Socha Tha Ke Laut Aaunga
Ab Woh Rasta Bhi Mujhe Shehr-Badar Lagta Hai
Mujh Se To Dil Bhi Mohabbat Mein Nahi Kharch Hua
Tum To Kehte The Ke Is Kaam Mein Ghar Lagta Hai
Waqt Lafzon Se Banayi Hui Chaadar Jaisa
Odh Leta Hoon To Sab Khwab Hunar Lagta Hai
Is Zamana Mein To Itna Bhi Ghanimat Hai Miyan
Koi Bahar Se Bhi Darvesh Agar Lagta Hai
Apne Shajre Ke Woh Tasdeeq Karaye Ja Kar
Jis Ko Zanjeer Pehente Hue Dar Lagta Hai
Ek Muddat Se Meri Maa Nahi Soyi Tabish
Maine Ek Baar Kaha Tha Mujhe Dar Lagta Hai
یہ عجب ساعت رخصت ہے کہ ڈر لگتا ہے
شہر کا شہر مجھے رخت سفر لگتا ہے
رات کو گھر سے نکلتے ہوئے ڈر لگتا ہے
چاند دیوار پے رکھا ہوا سر لگتا ہے
ہم کو دل نے نہیں حالات نے نزدیک کیا
دھوپ میں دور سے ہر شخص شجر لگتا ہے
جس پہ چلتے ہوئے سوچا تھا کہ لوٹ آؤں گا
اب وہ رستہ بھی مجھے شہر بدر لگتا ہے
مجھ سے تو دل بھی محبت میں نہیں خرچ ہوا
تم تو کہتے تھے کہ اس کام میں گھر لگتا ہے
وقت لفظوں سے بنائی ہوئی چادر جیسا
اوڑھ لیتا ہوں تو سب خواب ہنر لگتا ہے
اس زمانہ میں تو اتنا بھی غنیمت ہے میاں
کوئی باہر سے بھی درویش اگر لگتا ہے
اپنے شجرے کہ وہ تصدیق کرائے جا کر
جس کو زنجیر پہنتے ہوئے ڈر لگتا ہے
ایک مدت سے مری ماں نہیں سوئی تابشؔ
میں نے اک بار کہا تھا مجھے ڈر لگتا ہے
Jo Na Mil Sake Wohi Bewafa Yeh Badi Ajeeb Si Baat Hai – Lyrics
Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum – Habib Jalib Poetry
Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-E-Ziyan Hona Hi Tha – Mohsin Naqvi