Urdu Poetry (Misc)

Yeh Duniya Hai, Are Nadaan, Na Is Ke Jaal Mein Aana

یہ دنیا ہے ارے ناداں نہ اس کے جال میں آنا

Yeh Duniya Hai, Are Nadaan, Na Is Ke Jaal Mein Aana
Kaha Kuch Aur Jaata Hai, Kiya Kuch Aur Jaata Hai

Yeh Sauda Hai Nira Dhoka, Nazar Ka Khel Hai Saara
Dikhaya Aur Jaata Hai, Diya Kuch Aur Jaata Hai

Hai Maana Zindagi Teri, Magar Marzi Nahin Teri
So Jeena Aur Hota Hai, Jiya Kuch Aur Jaata Hai

Tera Tha Ghaav Hi Zaalim, Tabeebon Ki Khata Kya Hai
Hua Kuch Aur Gehra Jab, Siya Kuch Aur Jaata Hai

Mohabbat Teri Baaton Mein Yeh Kaisi Chaashni Hoti
Ke Matlab Aur Hota Hai, Liya Kuch Aur Jaata Hai

Yeh Abrak Shayari Hai Ya Ke Hai Yeh Dil Lagi Teri
Haqeeqat Aur Hoti Hai, Bata Kuch Aur Jaata Hai

یہ دنیا ہے ارے ناداں نہ اس کے جال میں آنا
کہا کچھ اور جاتا ہے کیا کچھ اور جاتا ہے

یہ سودا ہے نرا دھوکا نظر کا کھیل ہے سارا
دکھایا اور جاتا ہے دیا کچھ اور جاتا ہے

ہے مانا زندگی تیری مگر مرضی نہیں تیری
سو جینا اور ہوتا ہے جیا کچھ اور جاتا ہے

ترا تھا گھاو ہی ظالم طبیبوں کی خطا کیا ہے
ہوا کچھ اور گہرا جب سیا کچھ اور جاتا ہے

محبت تیری باتوں میں یہ کیسی چاشنی ہوتی
کہ مطلب اور ہوتا ہے لیا کچھ اور جاتا ہے

یہ ابرک شاعری ہے یا کہ ہے یہ دل لگی تیری
حقیقت اور ہوتی ہے بتا کچھ اور جاتا ہے

اتباف ابرک

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *